15+ Best of Bashir Badr Ghazals

15+ Best of Bashir Badr Ghazals - बशीर बद्र Ghazals

Ghazals of Bashir Badr

mom ki zindagi ghula karana,
kuch kisi se na taza karana.

mera bachpan tha aaine jaisa,
har khilaona ka moon taka karana.

chehre chehara meri kitaabein hain,
padhane waalo mujhe padha karana.

ye rivayat bahut purani hai,
neend mein ret par chala karna.

raaste mein kai khandar honge,
shah sawaaro vaha rukaa karana.

jab bahut hans chuko to chehare ko,
aansuon se bhi dho liya karana.

phool shaakhon ke ho ki aankhon ke,
raaste-raaste chuna karana.

Bashir Badr

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Ab Kise Chahen Kise Dhunda Kare,
Wo Bhi Aakhir Mil Gaya Ab Kya Kare,

Halki Halki Barishen Hoti Rahe,
Ham Bhi Phoolon Ki Tarah Bhiga Kare,

Aankh Munde Is Gulabi Dhoop Mein,
Der Tak Baithe Use Socha Kare,

Dil Mohabbat Deen Duniya Shairi,
Har Dareeche Se Tujhe Dekha Kare,

Ghar Naya Kapde Naye Bartan Naye,
In Purane Kaghazon Ka Kya Kare.

Bashir Badr

Bashir Badr Ghazals in Hindi

Na Ji Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki,
Badii Aarzu Thi Mulaaqaat Ki,

Kai Saal Se Kuch Khabar Hi Nahi,
Kahan Din Guzaara Kahan Raat Ki,

Ujaalon Ki Pariyan Nahaane Lagi,
Nadi Gunagunaii Khayaalaat Ki,

Main Chup Tha To Chalti Hawa Ruk Gai,
Zubaan Sab Samjhate Hai Jazbaat Ki,

Sitaaro Ko Shayad Kabhar Hi Nahi,
Musaafir Ne Jaane Kaha Raat Ki.

Bashir Badr

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Aas Hogi Na Aasra Hoga,
Aane Wale Dino Mein Kya Hoga,

Main Tujhe Bhul Jaunga Ek Din,
Waqt Sab Kuch Badal Chuka Hoga,

Naam Ham Ne Likha Tha Ankhon Mein,
Ansuon Ne Mita Diya Hoga,

Aasman Bhar Gaya Parindon Se,
Ped Koi Hara Gira Hoga,

Kitna Dushwaar Tha Safar Uska,
Wo Sareshaam Soo Gaya Hoga.

Bashir Badr

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Aansuon Se Dhuli Khushki Ki Tarah,
Rishte Hote Hai Shayri Ki Tarah,

Hum Khuda Ban Ke Aayenge Warna,
Hum Se Mil Jao Aadmi Ki Tarah,

Barf Seene Ki Jaise-Jaise Gali,
Aankh Khulti Gayi Kali Ki Tarah.

Jab Kabhi Badlon Me In Ghirta Hai,
Chand Lagta Hai Aadmi Ki Tarah,

Kisi Rozan Kisi Dareeche Se,
Saamne Aao Roshni Ki Tarah,

Sab Nazar Ka Fareb Hai Warna,
Koi Hota Nahi Kisi Ki Tarah,

Khubsoorat Udaas Khaufzada,
Wo Bhi Hai 20swei Sadi Ki Tarah,

Janta Hun Ki Ek Din Mujhko,
Wo Badal Dega Dyari Ki Tarah.

Bashir Badr

Bashir Badr Ki Shayari

agar talash karu koi mil hi jayega,
magar tumhari tarah kaun mujh ko chahega.

tumhein zarur koi chahaton se dekhega,
magar wo ankhein hamari kahan se laaega.

na jaane kab tere dil par nai si dastak ho,
makan khali hua hai to koi aaega.

main apni raah mein deewar ban ke baitha hoon,
agar wo aaya to kis raste se aaega.

tumhare saath ye mausam farishto jaisa hai,
tumhare baad ye mausam bahut sataega.

Bashir Badr

10+ Best of Rahat Indori Ghazals

Achha Tumhare Shehr Ka Dastoor Ho Gaya,
Jisko Gale Laga Liya Wo Door Ho Gaya,

Kaghaz Mein Dabke Mar Gaye Keede Kitab Ke,
Deewana Be Padhe Likhe Mashhoor Ho Gaya,

Mehlon Mein Ham Ne Kitne Sitaare Saja Diye,
Lekin Zamin Se Chand Bahut Door Ho Gaya,

Tanhaiyo Ne Tod Di Ham Dono Ki Ana,
Aaina Baat Karne Pe Majboor Ho Gaya,

Subhe Visaal Punch Rahi Hai Ajab Sawal,
Wo Paas Aa Gaya Ke Bahut Door Ho Gaya,

Kuch Pal Zaroor Ayenge Roti Ke Ped Mein,
Jis Din Mera Matalba Manzoor Ho Gaya.

Bashir Badr

Bashir Badr Ghazals

Ye Chirag Benazar Hai,
Ye Sitara Bejubaan Hai,
Abhi Tujse Milta Julta,
Koi Dusra Kahan Hai.

Wohi Shaksh Jispe Apne,
Dil O Jaan Nisaar Kar Doon,
Wo Agar Khafaa Nahi Hai,
To Zarur Bad Gumaan Hai.

Kabhi Paa Ke Tuj Ko Khona
Kabhi Kho Ke Tujko Paana,

Ye Janam Janam Ka Rishta,
Tere Mere Darmiyaan Hai,

Unhi Raasto Ne Jinpar,
Kabhi Tum The Sath Mere,
Mujhe Rok Rok Ke Pucha,
Tera Humsafar Kahan Hai,
Ye Chirag Benazar Hai.

Bashir Badr

17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals

aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samundar nahi dekha.

be-waqt agar jaunga sab chaunk padenge,
ek umar hui din mein kabhi ghar nahi dekha.

jis din se chala hoon meeri manzil pe nazar hai,
ankhon ne kabhi miil ka patthar nahi dekha.

ye phool mujhe koi virasat mein mile hain,
tum ne mera kanton bhara bistar nahi dekha,

yaaro ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine,
phulon mein chupaya hua ḳhanjar nahi dekha.

mehboob ka ghar ho ki buzurgo ki zamine,
jo chod diya phir use mudkar nahi dekha,

khat aisa likha hai ki nagine se jade hai,
wo haath ki jis ne koi zewar nahi dekha.

patthar mujhe kehta hai mera chahne waala,
main mom hu uss ne mujhe choo kar nahi dekha.

Bashir Badr

Bashir Badr Best Ghazal

log toot jaate hai, ek ghar bnane mein,
tum taras nahi khate, bastiyan jalane mein.

aur jaam tutenge, iss sharabkhane mein,
mausamo ke aane me, mausamo ke jaane me.

har dhadkte pathar ko, log dil samjhate hai,
umar beet jaati hai dil ko dil bnane me,

fakta ki majburi, ye bhi keh nahi skti,
kon saanp rakhta hai, uske aashiyane mein.

dusri koi ladki, jindagi me aayegi,
kitni der lagti hai, usko bhool jaane mein.

Bashir Badr

Top Hindi Poems on Life and Zindagi

mohabbato mein dikhaawe ki dosti na mila,
agar gale nahi milta to haath bhi na mila.

gharon pe naam the naamon ke saath ohade the,
bahut talaash kiya koi aadami na mila.

tamaam rishton ko main ghar pe chod aaya tha,
phir iske baad mujhe koi ajanabi na mila.

bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi,
wo mere sath raha aur mujhe kabhi na mila.

Khuda ki itni badi qaayanaat mein maine
bas ek Shakhs ko maanga mujhe wo hi na mila.

Bashir Badr

Bashir Badr ki Ghazal in Hindi

musafir ke raste badalate rahe,
muqaddar mein chalna tha chalate rahe.

koi phool sa hath kandhe pe tha,
mere paanv sholon pe chalate rahe.

mere raaste mein ujhala raha,
diye us ki aankhon ke jalate rahe.

wo kya tha jise hamne Thukara diya,
magar umar bhar haath malate rahe.

mohabbat adaawat wafa berukhi,
kiraaye ke ghar the badalate rahe.

suna hai unhein bhi hawa lag gayi,
hawaaon ke jo rukh badalate rahe.

lipat ke charaagon se wo so gaye,
jo phoolon pe karavat badalate rahe.

Bashir Badr

Mohammad Rafi Songs Lyrics Collection

sar se chadar badan se qaba le gayi,
zindagi ham faqeeron se kya le gayi.

meri muthi mein sukhe hue phool hai,
Khushbuon ko Daakar hawa le gayi.

main samundar ke seene mein chattan tha,
raat ek mauj aayi bahaa le gayi.

ham jo kaagaz the ashkon se bheege hue.
kyu chiraagon ki lau tak hawaa le gayi.

chaand ne raat mujhko jaga kar kaha,
ek ladki tumhara pata le gayi.

meri shoharat siyasat se meafoos hai,
ye tawayaf bhi ismat bachaa le gayi.

Bashir Badr

Best Bashir Badr Ghazals Lyrics

Bewafa Raaste Badalte Hai,
Ham Safar Sath-Sath Chalte Hai,

Kiske Aansu Chupe Hai Phoolon Mein,
Chumta Hu To Honth Jalte Hai,

Uski Aankhon Ko Ghaur Se Dekho,
Mandiron Mein Chiragh Jalte Hai,

Ek Deewar Wo Bhi Shishe Ki,
Do Badan Paas-Paas Jalte Hai.

Kaanch Ke, Motiyon Ke, Aansu Ke,
Sab Khilone Ghazal Mein Dhalte Hai.

Bashir Badr