20+ Best Romantic Ghazal in Urdu for Her

20+ Best Romantic Ghazal in Urdu for Her and Him - Urdu Ghazal

Romantic Ghazal for Girlfriend

Pass Aa Zara Dil Ki Baat Bataun Tujhko
Kaise Dhadakta Hai Dil Aawaz Sunaun Tujhko

Aa Ke Tu Dekh Le Dil Pe Likha H Naam Tera
Agar Kaho To Dil Cheer Ke Dikhaun Tujhko

Jitna Jalaaya Hai Tune Pyar Mein
Dil To Karta Hai Main Bhi Sataun Tujhko

Gair Hote To Aisa Kar Bhi Leti Shayad
Magar Tu To Apna Hai Kaise Sataun Tujhko

Aazma Sakta Hai Pyar Me Jitna Bhi Aazma Le
Ho Sakta Hai Waqt Aane Par Main Bhi Aazmaun Tujhko.

20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics

Ae Sard Raat Muje Chaand Chahiye,
Karni H Dil Ki Baat Muje Chaand Chahiye,

Bachpan Ki Zidd Nahi Jawani Ki Baat Hai,
Ae Meri Kaaynat Muje Chaand Chahiye,

Chehre Se Ab Nakab Ka Badal Utaar Do,
Ab Maan Jao Baat Muje Chaand Chahiye,

Dekha Hai Maine Din Mujhe Raat Chahiye,
Suraj Se Nahi Pyar Muje Chaand Chahiye.

Best Romantic Ghazal in Urdu

Sirf Itna Hi Kaha H, Pyar H Tum Se
Jazbaton Ki Koi Numaaish Nahi Ki

Pyar Ke Badle Sirf Pyar Manga H
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahi Ki

Chaho To Bhula Dena Hume Dil Se
Sada Yaad Rakhne Ki Sifarish Nahi Ki

Khamoshi Se Tufan Seh Lete Hain Jo
Un Badalo Ne Izhaar Ki Barish Nahi Ki

Tumhe Hi Mana H Rehnuma Apna
Aur To Kisi Cheez Ki Khwahish Nahi Ki

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Jane Kaise Hamara Maka Jal Gaya,
Ham Chale The Waha Se Bujha Ke Diya,

Apni Awaaz Bhi Koi Sunta Nahi,
Is Sehar Mein Kisi Se Kahe Bhi To Kya?

Humne Apna Gareban Dekha Nahi,
Iska Daaman Siya, Uska Daman Siya,

Thi Sabhi Mein Sharab, Ek Mein Tha Jehar
Jaam Humne Kushi Se Wahi Pee Liya,

Koi Bheje Tabhi To Mile Khat Mujhe,
Kya Kare ‘Kambari’, Kya Kare Daakiya.

Ansaar Kambari

Romantic Ghazal Shayari Urdu Facebook

Hum Kaha Aa Gaye Bastiya Chodkar,
Aashiya Chodkar, Bijliya Chodkar,

Umar Ki Ek Manjil Pe Hum Ruk Gaye,
Bachpana Badh Gaya Ungliya Chodkar,

Nakhuda Khud Hi Aapas Mein Ladne Lage,
Log Jaye Kaha Kasthiya Chhodkar,

Aaj Akhbaar Mein Phir Padoge Wahi,
Kal Wo Siraj Gaya Surkhiya Chodkar,

Lakh Rokoge Lekin Chala Jayega,
Waqt Yaado Ki Parchaiya Chodkar.

Ansaar Kambari

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Tere Bazm Mein Aane Se Aye Saaki,
Chamke-Maikada Ya Jame-Sharab Chamke,

Jara-Jara Najar Aaye Mahapara,
Gosh-Gosh Bijli Aaftab Chamke,

Meri Jaan Pe Shamul Subhan-Allah,
Tera Husn Ye Benaqab Chamke,

Jaise Shama Kandila Mein Ho Roshan,
Jaise Badlo Mein Mahatab Chamke.

Full Romantic Ghazal in Urdu

Ek Khilta Hua Gulab H Tu,
Tere Chehre Pe Khilti Hai Bahar,

Bholi-Bhali-Si Teri Ye Surat,
Dil Mein Kshbu Ka Rang Bharti Hai,

Tere Najuk Laboo Pea Aye Hasi,
Aapki Kismat Pe Naaz Karti Hai,

Pyar Se Jhumti Hai Shok Hawa,
Chum Kare Tere Ye Hasi Rukshar,

Teri Hasti Hui Nighao Mein,
Rang Aur Noor Hai Farishto Ka,

Koi Ristha Nahi Hai Tujhse Magar,
Pyar Mohtaaj Hai Kab Ristho Ka,

Mujhko Khud Bhi Nahi Hai Ye Malum,
Kyu Mujhe Hai Iss Kadar Tujh Se Pyar,

Ek Khilta Hua Gulab H Tu,
Tere Chehre Pe Khilti Hai Bahar.

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Hum Salamat Rahe Yo Phir Aap Paresha Kyu Hai,
Ashq Hasti Huo Aankho Se Numaya Kyo Hai,

Gungunate Hue Honto Pe Khamoshi Kyu Hai,
Phool Barsati Nighao Mein Udasi Kyu Hai,

Dardo-Gam Ranjo-Alam Aapke Mehma Kyu Hai,
Hum Salamat Rahe Yo Phir Aap Paresha Kyu Hai,

Bhigi-Bhigi Aankho Se Ye Aansu Na Girne Paye,
Aap palko Se Jo Dekhe To Mein Bhi Hu Udas,

Julfe-Pencha Ki Tarah Aap Paresha Ku Hai,
Hum Salamat Rahe Yo Phir Aap Paresha Kyu Hai,

Iltija Hai Ki Ye Takleef Gawara N Kare,
Apne Sab Dardo-Alam Humko Inayat Karde,

Chake-Dil, Chale-Jigar, Chake-Gareba Kyu Hai,
Hum Salamat Rahe Yo Phir Aap Paresha Kyu Hai.

 Romantic Ghazal for Lover in Urdu

Ye Judai Kitni Ajeeb Hai Tujhe Alvida Bhi N Keh Sake,
Tere Pass Rehne Ka Jikar Kya, Tere Sehar Mein Bhi Reh Sake,

Meri Badnaseebi Ki Dasta, Kabhi Sun Sakega N Ye Jaha,
Mein Wo Raaz Hu Jo N Khul Sake, Mein Wo Ashq Hu Jo N Beh Sake,

Mujhe Apne Jarf Ki Hai Khabar Maine Chot Khayi Hai Jankar,
Mujhe Dil Hai Aisa Diya Gaya Jo Julm Apnp Ke She Sake.

~~~~~

Jo Dard Mila Apno Se Mila,
Gairo Se Shaikayat Kon Kare,

Jo Jhakam Diya Phulo Ne Diya,
Kaanto Se Shikayat Kon Kare,

Inn Aakno Ne Jo Kuch Dekha,
Aye Dil Bata Kis Mooh Se Kahe,

Kuch Apnp Ka N Nata Hai,
Behtar Hai Yahi Khamosh Rahe,

Jab Kar N Sake Hum Inse Gila,
Logo Se Shaikayat Kon Kare,

Dil Seesha Hai Samjh Ek Tod Diya,
Manjil Pe Lake Chod Diya,

Humne Inn Pyase Honto Ka,
Paimano Se Nata Jod Liya,

Wo Pyar Nahi Ek Sapna Tha,
Sapno Se Shaikayat Kon Kare.

20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets

Dekh Ke Dil Ka Kora Kagaz Likh Diya Maine Salam,
Aapke Jhusn Ke Naam Likh Diya Maine Salam,

Iss Mausam Ka Dil N Tode,
Sharmane Ki Aadat Chode,

Dekh Le Baal N Yu Suljaye,
Ghujre Hur Mausam Ko Manaye,

Mera Kya Hai Jane-Tamnna Aayega Iljam,
Likh Diya Maine Salam,

Aao Band Le Preet Ki Dori,
Chupke-Chupke Chori Chori,

Ek Hone Ka Kar Le Irada,
Aapko Hum Dete Hai Wada,

Aaj Se Zyada Kal Chahenge,
Subh Se Zyada Sham, Likh Diya Maine Salam.

Romantic Ghazal for Him in Urdu

Tum Aaye Ho N Shabe-Intezaar Gujri Hai,
Talash Mein Sehar Bar-Bar Gujri Hai,

Junu Mein Bhi Gujri Bekarari Gujri Hai,
Agarche Dil Pe Kharabi Hajar Gujri Hai,

Wo Baat Unko Bahut Nagawar Gujri Hai,
Wo Baat Saare Fasane Mein Jiska Jikar N Tha,

N Gul Khile Hai N Unse Maine Meh Pi Hai,
Ajib Rang Mein Ab Ke Bahar Gujri Hai.

Latest 40+ Romantic Ghazal in Hindi

Julf Ko Teri Ghatao Ka Paigam Aaya Hai,
Husn Ko Teri Baharo Ka Paigam Aaya Hai,

Abke Kaliyo Ne Bahut Yaad Kiya Hai Tujhko,
Balki Mausam Ne Bhi Paigam Diya Hai Tujhko,

Ek Papihe Ki Juba Par Tera Naam Aaya Hai,
Julf Ko Teri Ghatao Ka Paigam Aaya Hai,

Tere Aanchal Se Sarkati Hui Julfe Teri,
Jiske Fando Mein Giraftar Hai Aankhe Meri,

Baat Samjhane Ke Liye Wo Paigam Aaya Hai,
Julf Ko Teri Ghatao Ka Paigam Aaya Hai.

Romantic Ghazal in Urdu

Dil Mein To Mohabbat Hai Phir Tum Kehte Hue Kyu Sharmate Ho,
Ijhare-Wafa Karte-Karte Kya Baat Hai Kyu Rook Jate Ho,

Betabi-E-Dil Hi Samjho Hum Tum Par Jaahir Kaise Kare,
Bimare-Mohabbat Se Gaafil Rehta Hai Masiha Kyu Aise,

Tumko To Khabar Hai Iss Dil Ko Anjhan Se Kyu Ban Jate Ho,
Ijhare-Wafa Karte-Karte Kya Baat Hai Kyu Rook Jate Ho,

Hum Bhatke Hue Ek Raahi The Duniya Ki Andheri Raaho Mein,
Jeene Ki Tamnna Jag Uthi Dekha Jo Tumhari Aankho Mein,

Jeene Ka Sahara De Ki Hame Ab Door Humi Se Jate Ho,
Ijhare-Wafa Karte-Karte Kya Baat Hai Kyu Rook Jate Ho.

20 Best Ghazals All Time in Hindi

Le Chana Jaan Meri Ruth Ke Jana Tera,
Aise Aane Se To Behtar Tha N Aana Tera,

Apne Dil Ko Bhi Btau N Thikana Tera,
Sab N Jana Jo Pata Ek N Jana Tera,

Tu Ja Aye Julf, Pareshan Raha Karti Hai,
Kiske Ujhade Hue Dil Mein Hai Thikana Tera,

Yeh Samjh Kar Tujhe Aye Maut Laga Rakha Hai,
Kaam Aata Hai Bure Waqt Mein Aana Tera,

Apni Aankho Mein Kondh Gayi Bijli Si,
Hum N Samjhe Ki Ye N Aana Hai Ki Jana Tera,

‘Daag’ Ko Yu Wo Mitate Hai, Ye Farmate Hai,
To Badal Daal, Hua Naam Purana Tera.

Daag

Romantic Ghazal for Girlfriend in Urdu

Jane Wale Teri Judai Ka Jehar Muskara Ke Pee Lenge,
Hum Tere Pyar Ki Hasi Yaade Dil Se Lagake Jee Lenge,

Dil Diya Dard Liya Aankh Mein Aankh Paye,
Ek Kushi Maangi Thi Ulfat Mein Hazar Gam Paye,

Dard-e-Ulfat Ki Kasam Tujh To N Jane Dete,
Hum Mohabbat Mein Kabhi Farq N Aane Dete,

Haye Takdeer Ki Hum Ko N Gas Aayi Kushi,
Kash Biti Hui Har Ghadi Laut Kar Aaye,

Apne Hatho Se Diya Dil Ko Bhujau Kaise,
Sath Gujre Hue Lamhat Bhulau Kaise.

30+ Heart Touching Ghazal Lyrics Collection

Najar Mila Ke Chale Gaye Hai,
Magar Tasuwar Mein Aa Rahe Hai,

Meri Nighao Se Mit Gaye Hai,
Magar Umangi Pe Cha Rahe Hai,

Kitni Damakati Hai Unki Bindiya,
Kabhi Chamakata Unka Juda,

Koi Lillah Bana De,
Wo Aa Rahe Hai Ki Ja Rahe Hai,

Haye Nighae Pukar Rahi Hai,
Sharm Daman Udha Rahi Hai,

Wo Mast Angdayi Aa Rahi Hai,
Dhanuk Bani Taratara Rahi Hai,

Hum Unko Gale Se Laga Rahe Hai,
Wo Apna Badan Chura Rahe Hai,

Najar Se Masti Tapak Rahi Hai,
Piye Huo Ko Pila Rahe Hai, Najar Mila Ke.

Romantic Ghazals in Urdu Language

Duniya Ko Hum Kya Samjhaye Kya Jeete Kya Haar Gaye,
Dukh To Yahi Hai Jeet Ke Bhi Hum Apna Sab Kuch Haar Gaye,

Apne Bhi Nahi Apne Rehte Begane Ban Jate Hai,
Saya Bhi Hat Jata Hai Jab Gham Ke Zamane Aate Hai,

Duniya Se Kya Shikwa Jab Hum Apni Duniya Haar Gaye,
Dukh To Yahi Hai Jeet Ke Bhi Hum Apna Sab Kuch Haar Gaye,

Inko Khokar Jeena Bhi Kya Jehar Hai Lekin Pee Lenge,
Ik-Ik Karke Sabse Bichude Phir Bhi Kaise Ji Lenge,

Kis-Kis Ko Ab Yaad Kare Hum Jane Kya-Kya Har Gaye,
Dukh To Yahi Hai Jeet Ke Bhi Hum Apna Sab Kuch Haar Gaye.

15+ Ghazal Poem About Love in Hindi

Gar Tum Hasi N Hote, Ham Meharba N Hote,
Sarkar Chuo N Hote Ho Se Chahne Wale N Hote,

Aapas Mein Mil Jaye Jaye Takraar Karte-Karte,
Ikrara Kar N Baitho Inkar Karte-Karte,

Yahi Aas Gar N Hoti, Hum Be-Juba N Hote,
Gar Tum Hasi N Hote, Ham Meharba N Hote,

Jo Hai Jurm Pyar Karna To Shok Se Saja Do,
Warna Najar Chura Kar Thoda-Sa Muskara Do,

Yeh Pyar Gar N Hota, Dono Jaha N Hote,
Gar Tum Hasi N Hote, Ham Meharba N Hote,

Tufan Samne Hai Aur Sath Hai Kinara,
Ab Aur Badh Gaya, Kuch Hausla Humara,

Tum Raaz Kyu Chupate, Jo Razda Hote,
Gar Tum Hasi N Hote, Ham Meharba N Hote,

Romantic Night Ghazal in Urdu

Laal Jode Mein Chal Diye Mujhe Chodkar,
Mere Bachpan Jawani Se Mooh Modkar,

Lad To Sakta Tha Duniya Se Tere Liye,
Meri Kismat Mein N Thi Tu Mere Liye.

Bedardi Se Pyar Ka Shahara N Mila,
Aisa Bichda Wo Mujhko Shahara N Mila,

Toot Gaya Pyar Ka Suhana Sapna,
Wo Hai Nikal Begana Jise Jana Apna,

Rota Hai Dil Use Yaad Karke,
Wo To Chala Gaya Mujhe Barbad Karke,

Pehle Mohabbat Mein Khata Kar Raha H Wo,
Kisi Bewafa Se Wafa Kar Raha H Wo,

Wo Thukraye To Kya Hua Mere Khuda,
Tu Hi Mila De Ye Tujhse Dua Kar Raha Hu,

Aankho Se Ashwo Ke Moti Barse,
Jaane Wale Teri Deed Ko Naina Barse,

Soo Gaya Zamana Mein Jagu Raato Ko,
Kaise Bhul Jau Mein Uski Mithi Baato Ko,

‘Saadik’ Wo Mujhse Bhulaye N Gaye,
Meri Palko Se Aansu Chupaya N Gaye.

Saadik

25+ Sad Ghazal About Life and Death

Nighae Mila Kar Kiya Dil Ko Jhakmi,
Adaye Dikhakar Sitam Dha Rahe Ho,

Wafao Ko Kya Khoob Badal Diya Hai,
Tadapta Hua Chodkar Ja Rahe Ho,

Mujhko Dafnakar Jayega Weh Thodi Door Jara,
Gir Jayenge Aansu Uske Jab Wo Hath Uthayega,

Bandh Liya Hai Kafan Teri Sab Tehriro Ka,
‘Saadik’ Rab Ko Jakar Ek-Ek Khat Dikhlaunga.

Mujhko Dafnakar Jab Wo Wapid Jayeneg,
Sath Rakibo Ke Wo Jashn Manayenge.

Meri Maut Ka Jashn Manakar,
Mere Pyar Ki Khak Udhakar,

Apni Aadat Se Wo Baaz N Aaynge,
Aaj Rakibo Ka Wo Dil Behlayenge.

Hai Ye Jag Ki Reet Purani,
Mile Pyar Mein Jhkam Nishani,

Uss Bewafa Ne Mujhe Barbad Kar Dala,
Mujhko Zindagi Se Aazad Kar Dala,

Sath Mein Rone Walo Jara Usko Mana Lao,
Judai Maar Degi Mujhe Shakl Dikha Jao,

Jab Sans Ki Dori Chute, ‘Saadik’ Duniya Uthi,
Laash Pe Bhi Nahi Aaya Thaw O Bewafa Yaaro,

Saadik

Romantic Poets of Urdu

Aye Dost Juth Aam Tha Duniya Mein Iss Kadar,
Tune Bhi Sach Kaha To Fasana Laga Mujhe,

Ab Usko Kho Diya ‘Aadil’ Jara Tu Dekh,
Weh Jis Dekhne Mein Zamana Laga Mujhe,

Mohabbat Ki Keemat Ada Hum Karenge,
Jafaye Karo Tum Wafa Hum Karenge,

Dua Jabki Dete Hai Hum Dushmano Ko Kyu Tere Liye,
Baaddu Hum Karenege, Mohabbat Ki Keemat Ada Hum Karenge,

Aatishe Gam Ke Siwa Kuch Bhi Nahi De Sakte,
Chirago Ki Tarah Jala Hum Karenge,

Nahi Dhulte The Jhkam Ashqo Se ‘Isharat’,
Phir Jee Ke Zamane Mein Hum Kya Karenge,

Ashq Peham (Behte Hue Aanshu) Ke Siwa Kuch Bhai Nahi De Sakte,
Tum Hume Bhul Hi Jao Mere ‘Aadil’,

Hum Tumhe Gam Ke Siwa Kuch Nahi De Sakenge,
Kabhi Nafrato Mein N Aaye Tumhari Yahi Bas Khuda Se Dua Karenge,

Tu Jee Bhar Ke Barbaad Kar Mujhko Jaalim,
N Tujhse Koi Bhi Gila Hum Karenge,

Kya Jarurat Ke Aehbab Ko Samjhata Chalu,
Raj Poshida (Chipe Hue Bhed) Jo Mere Dilgir Mein Hai,

Katrae (Boond) Ashq N Dali Hai Chhere Pe Lakeer,
Pardhne Walo Ho To Sab Kuch Tehreer (Likhwat) Mein Hai.

30+ Best of Bewafa Ghazal In Hindi

Aye Bekhudi Mein Shok Kya Hi Gaya Hu Mein,
Paya Use To Khud Se Juda Ho Gaya Hu Mein,

Jata Hu Pur Ummid Palatta Hu Namurad (Nirash),
Majbooe Aadmi Ki Dua Ho Gaya Hu Mein,

Latka Hua Hu Apni Badan Ki Salib Par,
Insaan Tere Junun Ki Saja Ho Gaya Hu Mein,

Jo Tujhko Dekthe The Mujhko Dekhne Lage,
Bas Itni Baat Hai Ki Tera Ho Gaya Hu Mein.

Kis-Kis Ka Mooh Band Kare Jab Ishq Ke Charche Aam Hue,
Hum To Deewane Hi The, Lekin Tum Nahak Badnaam Hue,

Meri Khak Se Ghar Chamkaya Mere Luhu Se Maang Bhari,
Ishq Mein Jaan Gayi Par Aapke Kitne Kaam Hue,

Sar N Kahi Jhuk Jaye Tumhara Iss Duniya Ki Nagri Mein,
Jaan Ke Humne Baaji Hari Jaan Bhujkar Nakam Hue,

Tere Khali Aanchal Ko Hero Ki Jarurat Thi Warna,
Kisko Tamnna Th Bikne Ki Tere Liye Neelam Hue,

Hum To ‘Jafar’ Abhage The Lekin Unki Kismat Acchi Thi,
Log Bhi Aaye Phool Bhi Barse Mele Subho Sham Hue.

Jafar