35 Famous Ghazals in Urdu for Your Beloved

35 Famous Ghazals in Urdu for Your Beloved - Urdu Ghazal

Famous Love Ghazals Collection

Baat Kar Tujhpe Guma Hone Laga Tasveer Ka,
Muntajir Kab Se Gair H Teri Takrir Ka,

Raat Kya Soye Ki Baaki Umar Ki Neend Udd Gayi,
Khwab Kya Dekha Ki Dhadka Lag Gaya Taabir Ka,

Kaise Paya Tha Tujhe, Kis Tarah Khoya Tujhe,
Mujsa Munkir Bhi To Kayal Ho Gaya Taqdeer,

Jane Ki Aalam Mein Tu Bicuda H Ki Tere Baigar,
Aaj Tak Har Naksh Fariyad Mere Tehrir Ka,

Jisko Bhi Chaha Badhi Shiddat Se Chaha,’Faraz’
Silsila Tuta Nahi Dard Ki Janjeer Ka,

Ahmed Faraz

25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets

Mastana Piye Ja Yu H, Mastana Piye Ja,
Paimana To Kya Chij H Mehkane Piye Ja,

Kya Gark Meh Oh Jaam Gam-E Gardise-Ayyam,
Aye Dile-Nakam Mekana Piye Ja,

Menashi Ke Aadab Se Aagah Nahi Tu,
Jis Tarah Kahe Saaki Ek Mehkana Piye Ja,

Iss Basti Mein H Masti Se Hi Masti,
Deewana Ban Aur Badal-E-Deewana Piye Ja,

Mekhane Ke Hungame H Kuch Der Ke Mehma,
H Subh Karib ‘Akthar’ Deewana Piye Ja

Love Ghazal in Urdu for Girlfriend

Mein Najro Se Pee Raha Hu, Ki Sama Badal N Jaye,
N Jhukao Tum Nigahe, Kahi Raat Dhal J Jaye,

Mere Ashq Bhi H Isme Ye Sharab Ubhal N Jaye,
Mera Jaam Chune Wale Tera Hath Jal N Jaye,

Abhi Raat Kuch H Baaki, N Utha Naqab Saaki,
Tera Rind Girte-Girte Kahi Phir Sambhal N Jaye,

Meri Jindagi Ke Maalik, Mere Dil Par Hath Rakhna,
Mujhse Fhukne Se Pehle Mera Dil Nikal Dena,

Ye Kis Ki H Amanat, Kahi Sath Jal N Jaye.

20+ Best of Parvesh Kumar PK Ghazals

Koi Hum Nafas Nahi H Koi Rajda Nahi H,
Faqat Ek Din Ka Katla So Wo Bhi Meharba Nahi H,

Meri Rooh Ki Haqiqat Mere Aansuo Se Pucho,
Meri Majlisi Tabsum Mera Tajurma Nahi H,

Kisi Aankh Ko Sada Do, Kisi Julf Ka Pukaro,
Badhi Dhoop Padh Rahi H Koi Sayba Nahi H,

Inn Patharo Par Chalkar Agar Aa Sako To Aao,
Mere Ghar Ke Raste Mein Koi Kehkasa Nahi H.

~~~~~

Kuch Yaadgar-E Sehar-Sitamgar Hi Le Chale,
Aaye H To Phir Gali Se Pathar Hi Le Chale,

Ranj-E Safar Ki Kou Nishani To Pass Ho,
Thodi Khake Kucha-E Dilbar Hi Le Chale,

Kuch Yaadgar-E-Sehar-E Sitamgar,
Yu Kis Tarah Katega Kadhi Dhoop Ka Safar,

Sar Par Khayl-E Yaar Ki Chadar Hi Le Chale,
Ye Keh Ke Chedti H Hume Dil-Gaariftagi,

Ghabra Rahe H Aap To Bahar Hi Le Chale,
Iss Sehar-E Be Chirag Mein Jaye To Kaha,

Aaye Shab-E Be Chirag Mein Jaye To Kaha,
Aaye Shab-E Firaq Tujhe Ghar Hi Le Chale.

Love Ghazal Lyrics in Hindi

Aye Dard-E-Hijar Yaar Ghazal Keh Raha Hu,
Be Mausam-E Bahar Ghazal Keh Raha Hu,

Mere Bayane-E Gam Ka Tasalsul N Toot Jaye,
Geshu Jara Smbhal Ghazal Keh Raha Hu,

Saaki Bayan-E Shok Mein Ranginiya Bhi Ho,
La Jam-E Kushgawar Ghazal Keh Raha Hu,

Tum Sa Sukhan-Shanas Koi Dusra Nahi,
Sun-E Khayl-E Yaar Ghazal Keh Raha Hu,

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Dard Jab Tak Sawalat Karte Rahe,
Ham Darkato Ke Sang Baat Karte Rahe,

Jindagi Se Mili Galiya Aur Hum,
Roz Use Mulaqat Karte Rahe,

Log Sote Rahe Chadar Taan Kar,
Jung Humse Khayalat Karte Rahe,

Hum N Bole Kabhi, Wo N Samjhe Kabhi,
Bewajah Khune-Jajbaat Karte Rahe,

Roshni Wo Tawayaf Ki Jiske Liye,
Khushnuma Umar Ko Raat Karte Rahe,

Bewajah Ro Diye, Bewajah Has Diye,
Raat Din Ye Kurafat Karte Rahe,

Hum Jhuke To Nahi, Yeh Tamnna Magar,
Ek Zamane Se Halat Karte Rahe.

Love Ghazals in Roman Urdu

Aansu Bhigi Muskano Se Har Chehre Ko Takta H,
Pyar Naam Ka Budha Manav Jane Kya Kya Bakta H,

Anjuri Bhar Yadon Ke Jugnu, Ghatri Bhar Sapno Ka Bhoj,
Sanso Bhar Ek Naam Kisi Ka Pehro Pehro Rattha H,

Dhai Akhar Ka Ye Bona, Bitar Se Sona Hi Sona,
Bahar Se Itna Sadharan Hum Tum Jaisa Lagta H,

Ristho Ki Kisthe Mat Bharna, Isse Mann Ka Mol Na Karna,
Yeh Aisa Sodaghar H Jo Khud Lutkar Bhi Tagtha H,

Kitni Unchi H Nichayi Iss Bhole Sodayi Ki,
Aasman Hokar Dhari Par Paon Paon Ye Chalta H.

15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Aankho Ke Seeshe Mein Pehle Roshni Itni N Thi,
Shak Koi Rang Mein Lipti Hui Utari N Thi,

Iss Tarah Dekhi Thi Apni Betarah Halat Kaha,
Dolti Thi Jism Ki Deewar Par, Girti Na Thi,

Mudato Se Jante The Ek Duje Ko Magar,
Mein N Tuta Tha Kabhi, Aur Wo Bhi Yu Bhikri N Thi,

Roshni Thi Tej Aisi Ki Kho Gaye Sab Raste,
Koi Darwaja N Tha, Aur Koi Khidki N Thi,

Ghum-Firkar Maal Par, Jab Raat Hum Laute Magar,
Ek Kiran Dehlij Se Lipti Thi, Kuch Kehti N Thi,

Ek Khusbu Ke Bhawar Mein Dubta Jata H Dil,
“Sham” Sahib Dhyan Ki Nadi Hi Kam Gehri Thi

Mehbub Sham

Beautiful Love Ghazals in Urdu

Hum Bikarte H Toragi Ki Tarah,
Dard Bhikarta H Roshni Ki Tarah,

Hum Khuda Ban Ke Aayenge Warna,
Humse Mil Jaon Aadmi Ki Tarah,

Jab Kabhi Badlo Mein Firta H,
Chand Lagta H Aadmi Ki Tarah,

Sab Najar Ka Fareb H Warna,
Koi Hota Nahi Kisi Ki Tarah,

Khubsurat, Udas, Khowf, Jada,
Wo Bhi H Biswi Sadi Ki Tarah.

10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals

Sun Chukka H Jo Kissa, Nahi Dohrawaunga,
Nayi H Raat, Diya Bhi Nahi Jalaunga,

Meri Ghazal H Safar-Nama-E-Hayat Mera,
Pal Pal Ka Safar Tumhe Karunga,

Suna Yeh H Ko Wo Shiddat Se Yaad Karta H,
Agar Mili Mujhe Fursat To Kabhi To Jaunga,

Mujhe Sambhal Kar Rakhna Ki Ab Yaha Se Bhi,
Chala Gaya To Kabhi Laut Kar Na Aaunga,

Sehur Gaalibo-Ekbaal Ho Ki Fizo-Firak,
Mein Apna Rasta Sabse Alag Bnaunga.

Anwar Sehur

Ghazals in Urdu About Love

Aye Jindagi Hume Bhi To Apna Bana Ke Dekh,
Jalim Kabhi Idhar Bhi Kabhi Mukura Ke Dekh,

Aye Ruthne Manane Mein Kya Khubsurti,
Tu Khud Se Ruthkar Kabhi Khud Ko Manakar Dekh,

Duniya Se Kya Kahe H Dilo Ka Muhamala,
Mein Nakshe-Natamam Sahi Tu Mita Ke Dekh,

Gulshan Pasand Bhi Hu Mein Sahara Pasand Bhi,
Do Hi To Jaawiye H Meri Inteha Ke Dekh,

Pathar Ki Murti To H Pathar Ki Murti,
Aansu Nasib Mein H To Aansu Baha Kar Dekh,

Subhe-Sabe-Visal Ki Pehli Kiran H Tu,
Apne Koi Aine Mein Jara Saja Ke Dekh,

Meri Ghazal Surur H Nagma H Jam H,
Apne Labo Ke Chandni Isme Mila Ke Dekh.

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Dekh To Akbar Mein Ye Kaisi Khabar H,
Bukh Bhi Aadmi Ka Pura Sabr H,

Dali H Chidiya Kaid Mein Tu Janta H Sab,
Unka Bayan-Udd Gayi Yeh Hath Mein Par H,

Kha Raha H Lathiya Jo Chorahe Par Unki,
Yeh Meer H? Iqbal H? Atha Ki Jigar H?

Khoon Saara Chus Le Wo Rubaru Aakar,
Tu N Bolega Tujhe Kanoon Ka Darr H,

Aye Agar Himmat Jara Bhi Maar De Pathar,
Aakash Ke Uss Chor Pe Jo Kanch Ka Ghar H.

~~~~~~

Pyas Ka Paryaye Banker Reh Gayi H Jindagi,
Kis Tarah Ehsaye Banker Reh Gayi H Jindagi,

Ghas Bhi Jisne Na Payi Ho, Kahi Din Se Hari,
Ek Bhuki Gaye Banker Reh Gayi H Jindagi,

Sabhyata Ke Naam Par Kya Gaon Se Aaye Sehar,
Ek Pyala Chaye Banker Reh Gayi H Jindagi,

Duhen Ka Azgar Nighalta Reh Gaya H Bastiya,
Dhund, Seelan, Haye Banker Reh Gayi H Jindagi,

Ghutan, Utpidan, Rudan Jaise Pdhao Se Gujar,
Kafila Nirupaye Banker Reh Gayi H Jindagi.

Famous Ghazals in Urdu

Bachkar Rehna Iss Duniya Ke Logo Ki Parchayi Se,
Iss Duniya Se Log Bana Lete H Parwat Rahi Ke,

Sabse Ye Kehte Firte The Moti Lekar Lautenge,
Mithi Lekar Laute H Hum Sagar Ki Gehrayi Se,

Nahak Soch Rahe Ho Tum Par Asar Na Hoga Auro Ka,
Chand Bhi Kala Padh Jata H Dharti Ki Parchayi Se,

Isse Jyada Waqt Bura Kya Gujrega Insaano Par,
Nek Kaam Karne Wale Bhi Darte H Ruswayi Se,

Phool Jo Humne Phek Diye Dariya Mein Unki Pucho Mat,
Pathar Thar Thar Kaanp Rahe H Dairya Ki Angdayi Se,

Tumko Aage Bhadna H To Behta Pani Ban Jaon,
Tehra Pani Dhak Jata H Ek Din Apni Kayi Se.

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Saya Saya Khofjhada H,
Jane Kya Hone Wala H,

Suraj Suraj Chilate Ho,
Dekho Suraj Doob Raha H,

Meri Ander Rehne Wala
Meri Kab Suntan H,

Kya Jane Kitni Sadiyo Se,
Ye Sunsan Padha H,

Use Aakhir Kaise Bholu,
Wo Bhi To Ghunga Behra H,

Galiyare Ki Tariki Se,
Sannata Kya Puch Raha H,

Uske Ghar Ko Jalne De,
Apne Ghar To Bacha Hua H.

Happy Love Ghazal in Urdu

Jindagi Jaisi Tawkko Thi, Nahi, Kuch Kam H,
Har Ghadi Hota Nahi Eshaas Kahi Kuch Kam H,

Ghar Ki Thamir Taswur Mein Hi Ho Sakti H,
Apne Nakshe Ke Mutabit Ye Jami Kuch Kam H,

Bichade Logo Se Mulaqat Phir Kabhi Hogi,
Dil Mein Ummid To Kadi H Yakin Kuch Kam H,

Ab Jidhar Dekhiye Lagta H Ki Iss Duniya Mein,
Kahi Kuch Chij Jyada H Kahi Kuch Kam H,

Aaj Bhi H Teri Duri Hi Udasi Ka Sabab,
Ye Alag Baat Ki Pehli Si Nahi, Kuch Kam H.

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Nukile Patharo Par Nactheh Hum, Hume Dekho,
Bahut Chote Lagenge Tumko Gam Apne, Hume Dekho,

Humare Khoon Se Jagmag H Kitni Deepmalaye,
Huamre Ghar Mein Phir Bhi Roshni H Kam Hame Dekho,

Kahi Phusto Se Dhote Aa Rahe H Boj Duniya Ka,
Labo Par Aa Chukka Ab Hume Dekho,

Ye Humne Than Li Thi, Hum Kisi Surat Na Pighalenge,
Humari Aankh Kyu Hone Lagi H Num, Hame Dekho,

Sitamgaro, N Itrao Bhagawat Hone Wali H,
Uthayenge Bhagwat Ka Humi Parcham, Hume Dekho.

Urdu Love Ghazal in Hindi

Subah Subah Phir Aa Dhamka Anchaha Awara Din,
Jane Kab Se Bhatak Raha H Ghar Ghar Mara Mara Din,

Barso Hum Iss Intjaar Mein Calendar Ke Sath Jiye,
Aayega Ek Din Aayega Koi Ek Humara Din,

Humne To Boye Ujyale Sapne Apni Aankho Se,
Lekin Kismat Ke Aangan Mein Ugg Gaya Andhiyara Din,

Roj Nayi Kasme Gandhi Ki, Roja Nayi Golabari,
Aakhiri Kab Tak Dohrayega Apne Ko Hatyara Din,

Ghar Se Daftar, Daftar Se Ghar, Afsar, Biwi Bache Uff,
Jee Karta H Ulat Ke Rakh Du, Ye Sara Ka Sara Din.

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Phir Ghamo Ko Sham Gehrane Lagi H,
Chandni Ye Mujhko Samjhane Lagi H,

Lo Hawa Ke Honth Bhi Gaane Lage H,
Yaad Apno Ki Bahut Aane Lagi H,

Yaad Ke Jaadu Ne Ye Kya Kar Diya H,
Chupke Chupke Aankh Sharmane Lagi H,

Aankh Mein Shyad Kahi Barsaat H Jo,
Aansuon Ka Neer Barsane Lagi H,

Band Kamre Mein Ghuti Har Saans Meri,
Jindagi Ka Dwar Khatkane Lagi H,

Aap Hi Sab Kuch Ham Rasgand De Do,
Jindagi Pholo Si Kumlane Lagi H.

Love Poetry Ghazals in Urdu

Aaj Jin Logo Ke Pare Ki Tarah Imaan H,
Dar Haqiqat Log We Hi Desh Ke Bhagwan H,

Ye Banaya Jayega Sab Devtawo Ka Nagar,
Aur Maare Jayenge We Log Jo Insaan H,

Jinka Lekhan Ek Gali H Garibo Ke Liye,
Ye Sukhnwar Unchi Unchi Mehfilo Ki Shan H,

H Kahi Sangin Ka Pehra, Kahi Chaku Ka Darr,
Har Gharo Mein Kaid Ya Lute Gaye Saman H.

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Lafj Ko Chadar Hari Aurak Nange Ho Gaye,
Kore Kagaz Ke Dayre Oe Rengte H Dayre,

Apne Bacpan Ki Mujhe Tasveer Dekar Has Padi,
Maine Pucha Tha Bata Ab Kurbato Kef Aisle,

Kitna Sach H Ek Kabristan Mein Chidiya Ka Shor,
Murda Tehriro Se Behtar H Ye Jinda Haasiye,

Subh Hote Hi Nikal Jaynege Jangal Ki Taraf,
Raat Bhar Baithe Rahenge Mere Ghar Mein Raste,

Ek Markaj Par Simatha Phailta Hu Raat-Din,
Jis Kadar Aankhe H “Majid” Uss Kadar H Jaaviye.

Maajid Ull Wakri

Love Ghazal in Urdu Language

Aa Ke Manjil Pe Kho Gaya Koi,
Gair Ke Sath Aa Gaya Koi,

Sehar Ki Baat Tamam Raat Jaga,
Sehar Hui To Soo Gaya Koi,

Khusk Dil Ki Tapi Hui Thi Jami,
Aansuon Se Bhiga Gaya Koi,

Dard-E-Dil Ki Athah Lehro Mein,
Aaj Mujko Dubo Gaya Koi,

Mere Hote Tamam Rahon Mein,
Bij Kaanto Ke Wo Gaya Koi,

Dard Apni Jangah Raha Kayam,
Roz Nastar Chubo Gaya Koi.

17 Best Jagjit Singh Ghazal Collection

Karib Dil Ke Jo Aahat Sunayi Deti H,
Kabhi Kabhi To Khamoshi Bhi Jaan Leti H,

Nafas Ke Shor Se Wo She Bhi Kho N Jaye Kahi
Badhi Khusi Se Jo Dukh Dard Baant Leti H,

Looh Pilaya Tha Jis Sarjamin Ko Maine,
Ussi Ki Khok Se Ujadi Hui Ye Kheti H,

Tera Wajub Samunder H Nile Pani Ka,
Mera Wajud Kinare Ki Jard Reti H,

Mein Dil Kid Hoop Mein Khud Ko Samet Leta Hu.

Short Love Ghazal in Urdu

Ek Manjil Jo Mili Manjilo Ke Bich Mein,
Aaj Wo Ghir Ghayi H Katilo Ke Bich Mein,

Kitne Hi Tufan Aaye Par Nahi Tuta Kabhi,
Dard Ka Ristha H Jo Inn Do Dilo Ke Bich Mein,

Hum Na Honge To Karoge Kisse Apne Dil Ki Baat,
Humne Mana Aaj Ho Tum Mehfilo Ke Bich Mein,

Bhool Jana H Bahut Assan Lekin Soch Lo,
Yaad Aaynge Tumhe Hum Mushkilo Ke Bich Mein,

Ye To Mana Deg Gayi Deewar Aaj Bhi,
Fasle Milte H Humko Kyun Dil Ke Bich Mein.

10+ Best of Rahat Indori Ghazals

Jabki Kabhi Ghar Kisi Ke Jalte H,
Pasba Bach Ke Kuch Nikalte H,

Apna Ghar Ke Biyaba Jangal,
Unke Aangan Mein Phool Khilte H,

Apne Hatho Daba Ke Suraj Ko,
Aadmi Barf Se Pighalte H,

Tod De Risthe Jo Seeshe Ki Tarah,
Dost Aise Bhi Kahi Milte H,

Koi Majlum Marr Gaya Shayad,
Log Arthi Se Door Chalte H.

Pasha Rehman Ghazal Lyrics

Unke Ghar Mein Chand Or Tare, Apne Ghar Mein Aag,
Apni Apni Kismat Pyare, Apna Apna Bhag,

Aaj Wo Shyad Mere Ghar Mein Raat Gaye Tak Aaye,
Aur Samay Se Chat Par Apni Bol Raha H Kaag,

Ye Yug To Kalyug H Pyare Iss Yug Mein Aanad Kaha,
Jitni Jaldi Bhag Sake Tu Iss Dharti Se Bhag,

Budhi Dharti Aisi Nari Jiske Soo-Soo Roop,
Iske Kesh Mein Fas Jate H Kaise Kaise Dhag,

Iss Nagri Mein “Pasha” Sahib Kis Kis Ko Samjhoge,
Har Ki Apni Apni Dhapli Har Ka Apna Raag,

Pasha Rehman

~~~~~

Maysar Ho Na Jo Apni Khusi Se,
Looh Ke Ashq Behtar Uss Hasi Se,

Kahi Raze-Gulista Keh Na Dale,
Kali Ko Noch Lo Pehle Hasi Se,

Sada Roshan Raha Kandhil Ban Kar,
Wo Ek Lamha Jo Ubhra Thirgi Se,

Ye Mehrumi Thi Ya Thirpti Thi,
Junu Ka Rang Chamka Pyas Se,

Karib-Jaan Hua Mehsus Aksar,
Jise Thukra Diya Tha Berukhi Se.

25+ Old Hindi Song Lyrics in Hindi

Apne Chehre Ko Bepechan Dhikane Wala,
Ye Aaina H Kisi Kaam Na Aane Wala,

Humare Mulk Ki Jamuriat Ke Kya Kehne,
Amal Se Door H Kanoon Bnane Wale,

Chalo Ki Manjil Aage H Sayabano Se,
Utho Ki Waqt Nahi Doop Bitane Wale,

Dikh Raha H Naya Rang Fir Siyasat Ke,
Wo Shaks Fark Ki Deewar Uthane Wala,

Machi Hui H Tabhai H Tamam Jangal Mein,
Ek Darinda H Koi Aadmi Khane Wala.

Devender Manji Ghazal Lyrics

Sar Pe Chadte Hue Tufan Utar Jayenge,
Aajmayish Ke Ye Lamhe Bhi Gujar Jayenge,

Pehle The Karle Doraho Se Abhi Door H Hum,
Mein Kidhar Jaunga Aur Aap Kidhar Jayenge,

Aag Barsa Le Khule Dast Mein Suraj Banke,
Dhoond Mein Lipte Hue Jism Nikhar Jayenge,

Shyah Julfo Ko Na Lehra Ki Tere Deewane,
Tujko Iss Haal Mein Dekhenge To Darr Jayenge,

Kaise Sarsabj Ho Sukhi Hui Banjar Dharti,
Ye Nadi Nale To Barsat Mein Bhar Jayenge,

Dhund Payega Na Tufane-Bhala Bhi “Manji”
Mauj-Dar-Mauj Samunder Mein Bikhar Jayenge.

DEVENDER MANJI

~~~~~

Dukh Mein Neer Baha Dete H Such Mein Hasne Lagte H,
Sidhe Saadhe Log The Lekin Kitne Acche Lagte The,

Nafrat Chadti Aandhi Jaisi, Pyar Ubhlte Chasmo-Sa,
Biwi Ho Ya Sangi Sathi Saare Apne Lagte The,

Behte Pani Dukh Such Baante, Pedh Badhe Bhuko Jaise,
Bacho Ki Aahat Sunte Hi Khet Lehkane Lagte The,

Nadiya, Parwat, Chand, Nigahen, Mala Ek Kahi Daane,
Chote Chote Se Aangan Bhi Koso Phaile Lagte The.

15+ Popular Hindi Song Lyrics Collection

Saans Siwa Sab Saathi Chuthe,
Jaane Kab Ye Ristha Tute,

Tum Bin Kanta Banker Khatke,
Fulwari Ke Sab Gul-Bute,

Aansu Peena Khel Nahi Tha,
Rag Rag Mein Soo Nastar Tute,

Ummido Ke Batmaro Mein,
Nindo Ke Virane Lute,

Dil Ki Baate, Baate Sohrat,
Baaki Sab Afsane Jhute.

Famous Ghazal Lyrics Collection

Kuch Haqiqat To Hua Karti Thi Afsano Mein,
Wo Bhi Baki Nahi Iss Daur Ke Insaano Mein,

Waqt Ka Dhara Baha Le Gaya Sab Kuch Warna,
Pyar Ke Dher Lage The Mere Kalhiyano Mein,

Saakh Se Katne Ka Gam Unko Bahut Tha Lekin,
Phool Majbur The Haste Rahe Guldano Mein,

Unki Pehchan Ki Keemat To Ada Karni Thi,
Janta H Koi Apno Mein Na Begano Mein,

Sar Hi Hum Fodne Jaye To Kaha Jayenge,
Khokle Kaanch Ke But H Tere Butkhano Mein.

17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals

Suraj Chupa Ek Ek Gule Manjar Bikhar Gaya,
Shola Sa Koi Dil Mein Utarkar Bikhar Gaya,

Tha Chandni Ka Jism Ki Seeshe Ka Tha Badan,
Aayi Hawa To Gir Ke Jami Par Bikhar Gaya,

Kal Has Ke Rege-Dast Se Kehti Thi Jindagi,
Maine Chuwa Hi Tha Ki Wo Pahar Bikhar Gaya,

Nadi Par Ek Narm Kiran Ne Jo Rakha Paon.
Charo Taraf Sada Ka Samunder Bikhar Gaya,

“Jaafar” Humara Dil Bhi H Wo Aaina Ki Bas,
Khayi Jara Nigah Ki Thokar , Bikhar Gaya,

Poet Jaafar Ghazal Lyrics

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke ‘Too Kya Hai’ ?
TumheeN Kaho Ke Yeh Andaaz-E-Guftgoo Kya Hai ?

RagoN MeiN DauDte Firne Ke Ham NaheeN Qaayal
Jab AaNkh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai ?

Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan
Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafoo Kya Hai ?

Jalaa Hai Jicm JahaaN Dil Bhee Jal Gaya Hoga
Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai ?

Rahee Na Taaqat-E-Guftaar, Aur Agar Ho Bhee
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai ?