45+ Latest Sharabi Shayari in Hindi

45+ Latest Sharabi Shayari in Hindi - Sharabi Shero Shayari

Shayari on Sharab in Hindi

Yeh Dil Sharabi Hai,
Har Kadam Par Machal Jata Hai,
Tum Gayi Jo Chod Ke Mujhe To Gham Nahi,
Yeh Roj Naye Maikhane Se Dil Behlata Hai.

~~~~~

Tum Agar Gulab Hote To Tod Leta,
Tum Agar Sawal Hote To Jawab Deta,
Log Jante Hai Ki Main Peeta Nahi Hoon,
Phir Bhi Pee Leta Agar Tum Sharab Hote.

~~~~~

Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha To Dhimi Barsaat Ka Hai,
Hame Aap Yuhi Sharabi Na Kahiye,
Yeh Dil Par Asar To Aapse Mulaqat Ka Hai.

~~~~~

Nasha Jaruri Hai Zindagi Ke Liye,
Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye,
Kisi Ki Mast Nigaho Mein Doob Ja Aye Dost,
Bada Hasi Samundar Hai Khudkushi Ke Liye.

~~~~~

Jise Koyal Samjha Wo Kauwa Nikla,
Dosti Ke Naam Par Hauwa Nikla,
Jo Roka Karte The Hame Sharab Peene Se,
Saala Aaj Usi Ki Jeb Se Hi Pawua Nikla.

40+ Hindi Sharabi Shayari for Friends

Meri Kabar Pe Mat Gulab Leke Aana,
Na Hi Haatho Mein Chiraag Leke Aana,
Pyasa Hu Main Barso Se Sanam,
Botal Sharab Ki Aur Ek Glass Leke Aana.

~~~~~

Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka,
Hosh Dono Mein Koh Jaate Hai,
Farq Sirf Itna Hai Ke Sharab Sula Deti Hai,
Aur Mohabbat Rula Deti Hai.

~~~~~

Hum Laakh Ache Sahi Par Log Kharab Kehte Hai,
Bigda Hua Humko Wo Nawab Kehte Hai,
Hum To Aise Badnam Ho Gye Hai,
Ki Pani Bhi Piye To Log Sharab Kehte Hai.

~~~~~

Sharab Bani To Maikhane Bane,
Husan Bana To Deewane Bane,
Kuch To Baat Hai Aap Mein,
Yu Hi Nahi Pagal Khane Bane.

~~~~~

Zamana Kuch Bhi Kahe Uska Ehteraam Na Kar,
Jise Zameer Na Maane Usse Salaam Na Kar,
Sharab Peekar Behakna Hai Agar To Na Pee,
Halal Cheez Ko Iss Tarha Se Haram Na Kar,

Sharabi Attitude Status in Hindi

Patti, Patti Gulab Ban Jaati,
Har Kali Mere Khawab Ban Jaati,
Apne Dali Na Kuch Aisi Mehkdana Najre,
Warna Subha Ki Aus Bhi Sharabh Ban Jaati.

~~~~~

Logo Ne Kaha Ki Main Sharabi Hoon,
Maine Kaha Unho Ne Ankhon Se Pilayi Hai,
Logo Ne Kaha Ki Main Aashiq Hoon,
Maine Kaha Ashiqi Unho Ne Sikhayi Hai.

~~~~~

Phir Aansuon Ke Kuch Fasane Nikle,
Maikhane Se Sharabo Ke Paimane Nikle,
Jo Dil Ke Haal Ko Samajh Na Paaya,
Unko Hum Apne Zakham Dikhane Nikle.

~~~~~

Amiri Ke Khwab Dekhne Laga,
Angreji Sharab Chakhane Laga,
Baap Ne Kabhi Computer Nahi Dekha,
Aur Beta Laptop Rakhne Laga.

~~~~~

Hamesha Yaad Aati Hai Unki,
Aur Mood Ho Jata Hai Kharab,
Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum,
Ek Hath Me Kalam Aur Ek Hath Me Sharab.

50 Cute Friendship Quotes in Hindi

Pee Hai Sharab Har Gali Ki Dukan Se,
Dosti Si Ho Gayi Hai Sharab Ke Jaam Se,
Gujre Hai Hum Kuch Aise Mukam Se,
Ki Aankhen Bhar Aati Hai Mohabbat Ke Naam Se.

~~~~~

Aapke Waste Gunaah Hi Sahi,
Hum Piye To Sabab Banti Hai,
Bahot Gamo Ko Sanjone Ke Baad,
Ek Katra Yaha Sharab Banti Hai.

~~~~~

Yeh Jawani Gulaab Ho Jaaye,
Muyassar Agar Sharab Ho Jaaye,
Isi Madhosh Halat Mein Farishto,
Aao Phir Aaj Ek-Ek Jam Ho Jaaye.

~~~~~

Teri Aankhon Se Aisi Sharab Pee Maine,
Ke Phir Na Kabhi Hosh Ka Dawa Kiya Maine,
Wo Aur Honge Jinhe Maut Aa Gayi Hogi,
Nigah-E-Yaar Se Payi Hai Zindagi Maine.

~~~~~

Roshni Karta Hu Andhera Mitane Ke Liye,
Sharab Pita Hu Main Tujko Bhulane Ke Liye,
Kyo Na Ban Saki Tum Meri Zindagi Ki Mehbooba,
Aaj Bhi Rota Hu Main Gujre Zamane Ke Liye.

Dard Bhari Sharabi Shayari in Hindi

Log Peete Hai Sharab Mehkhane Ja-Ja Kar,
Jo Do Pal Mein Utar Jayegi,
Humne To Pee Hai Apne Mehboob Ki Aankho Se,
Jo Umar Bhar Naa Utar Payegi.

~~~~~

Dil Pe Jab Se Sharab Ka Pehra Lag Gaya,
Gam Ka Andar Aane Ka Raasta Band Ho Gaya,
Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Choo Liya,
Uska Naam Hamesha Ke Liye Bhool Gaya

~~~~~

Apni Hi Garaj Se Jee Rahe Hai Jo Log,
Apni Hi Kbaye See Rahe Hai Jo Log,
Unko Bhi Hai Kya Sharab Peene Se Gurej,
Insaan Ka Khoon Pee Rahe Hai Jo Log.

~~~~~

Har Baat Ka Koi Jawab Nahi Hota,
Har Ishq Ka Naam Kharab Nahi Hota,
Yooh To Jhoom Lete Hai Nashe Mein Peene Waale,
Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota.

~~~~~

Mausum Bhi Hai Sharab Bhi Hai
Pehlu Mein Wo Ishq Mehtab Bhi Hai
Duniya Mein Ab Aur Chaiye Kya Mujhko,
Shaaki Bhi Hai Saj Bhi Hai Sharrab Bhi Hai.

Birbal Stories with Moral for Kids

Dil Bana To Aap Deewane Bane,
Sharab Bani To Mekhane Bane,
Kuch To Baat Hai Aap Mein Bhi,
Yui To Nahi Hum Pagal Bane.

~~~~~

Zakham Has Kar Gulab Ho Jaate,
Aur Fir Lajawab Ho Jaate,
Tera Daman Na Mil Saka Mujhe,
Warna Mere Aansu Kb Ke Sharab Ho Jate.

~~~~~

Mausam Bhi Hai, Umar Bhi, Shabab Bhi Hai,
Pehlo Mein Wo Rashk-E-Mahtaab Bhi Hai,
Duniya Mein Ab Or Chaiye Kya Mujh Ko,
Saaqi Bhi Hai Saaz Bhi Hai Or Sharab Bhi Hai.

~~~~~

Dil Pe Jab Se Sharab Ka Pehra Lag Gaya,
Gam Ka Andar Aane Ka Raasta Band Ho Gaya,
Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Chhu Liya,
Uska Naam Hamesha Ke Liye Bhool Gaya.

~~~~~

Nashe Mein Jeene Ka Maja Aata Hai,
Unki Aankho Se Peene Ka Maja Aata Hai,
Sharab Ki Bottle Ki Tarah Lagti Hai Wo,
Use Puri Pee Jaane Ko Jee Chahta Hai.

Sharabi Shayari in Hindi

Peene Do Sharab Abhi To Shaam Baaki Hai,
Aye Yaar Tere Naam Ka Bhi Ek Jaam Baaki Hai,
Jaana Aye Ladkhadate Hue Maikhane Se,
Peene Do Abhi To Kadmo Mein Jaan Baaki Hai.

~~~~~

Nasha Jaruri Hai Zindagi Ke Liye,
Sirf Sharab Hi Kaafi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye,
Kisi Ki Mast Nigahon Me Doob Jao Ek Dafa,
Bada Haseen Samunder Hai Khudkhushi Ke Liye.

~~~~~

Har Phool Gulab Ka Nahi Hota,
Har Jaam Sharab Ka Nahi Hota,
Jara Sambhalkar Chalna Mere Dost,
Har Dost Meri Tarah Wafadar Nahi Hota.

~~~~~

Koi Peeta Hai Nasha Chadhane Ke Liye,
Koi Peeta Hai Gham Bhulane Ke Liye,
Na Jaane Kyu Duniya Kehti Hai Sharab Ko Bura,
Sharabi To Ise Peeta Hai Bas Gam Bulane Ke Liye.

~~~~~

Har Baat Ka Koi Jawab Nahi Hota,
Har Ishq Ka Naam Kharab Nahi Hota,
Yu To Jhoom Lete Hai Nashe Mein Peene Wale,
Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota.

Moral Stories for Children About Life

Pilana Farz Tha To Kuch Bhi Pila Diya Hota,
Sharab Kam Thi To Paani Mila Diya Hota,
Zuban Pe Sharm-O-Haya Ka Pehra Tha,
To Muskura Ke Sar Hi Hila Diya Hota.

~~~~~

Ye Shayari Likhna Unka Kaam Nahi,
Jinke Dil Aankhon Mein Basa Karte Hai,
Shayari Toh Wo Mushroof Saksh Likhte Hai,
Jo Sharab Se Nahi, Kalam Se Nasha Karte Hai.

~~~~~

Teri Aankhon Se Aisi Sharab Pee Maine,
Ke Phir Na Kabhi Hosh Ka Dawa Kiya Kabhi Maine,
Wo Aur Honge Jinhe Maut Aa Gayi Hogi,
Nigah-E-Yaar Se Paayi Hai Zindagi Maine.

~~~~~

Phir Aansoo Ke Kuch Fasane Nikle,
Maikhane Se Sharab Ke Paimane Nikle,
Jo Dil Ka Haal Hamara Samajh Na Paaye,
Kyu Unko Hum Apne Zakhm Dikhane Nikle.

~~~~~

Har Baat Ka Jawab Nahi Hota,
Har Ishq Ka Naam Kharab Nahi Hota,
Yu To Jhum Lete Hai Nashe Mein Peene Wale,
Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota.

Sharabi Shayari With Images

Jo Manzil Tak Pahunch Jaaye Wo Musafir Hi Kya,
Jo Pee Ke Behak Jaaye Wo Sharabi Hi Kya,
Chal Kadam-Dar-Kadam Mere Sath Uss Jahan Tak,
Jo Thak Gaya Safar Mein To Wo Hamsafar Hi Kya.

~~~~~

Beete Hue Kal Ke Kisse Yaad Rakhte Hai,
Tute Hue Dil Ke Hisse Paas Rakhte Hai,
Mujhe Shayar Se Sharabi Banane Wale Dost,
Hum Tere Tute Jaam Ke Seeshe Bhi Sath Rakhte Hai.

~~~~~

Zindagi Ke Sawalo Ka Jawab Dhundta Hoon,
Dard Ko Kam Kar Sake Wo Sharab Dhundta Hoon,
Waqt Ke Haatho Majboor Ek Shaks Hoon Main,
Jo Jeene Ka De Bahana Wo Kitaab Dhundta Hoon.