Best of Dr Rahat Indori Shayari in Hindi

Best of Dr Rahat Indori Shayari in Hindi - Rahat Indori Sher

Rahat Indori Sher and Shayari

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye,
Dushmano Ki Bhi Raaye Li Jaye,

Maut Ka Zehar Hai Fizaon Mein,
Ab Kahaan Ja Ke Saans Li Jaye,

Bas Isi Soch Mein Hoon Dooba Hua,
Ye Nadi Kaise Paar Ki Jaye,

Mere Maazi Ke Zakham Bharne Lage,
Aaj Phir Koi Bhool Ki Jaye,

Botale’n Khol Ke To Pee Barson,
Aaj Dil Khol Ke Bhi Pee Jaye.

Rahat Indori

35+ Munawwar Rana Shayari and Poetry

Log Har Mod Pe Ruk-Ruk Ke Sambhalate Kyu Hai,
Itna Darte Hai To Phir Ghar Se Nikalate Kyu Hai.

Main Na Jugnu Hu Diya Hu Na Koi Taara Hun,
Raushani Wale Mere Naam Se Jalate Kyun Hai.

Neend Se Mera Ta-Alluq Hi Nahi Barason Se,
Khawab Aa Ke Meri Chat Pe Tehalate Kyu Hai.

Mod Hota Hai Jawani Ka Sambhalane Ke Liye,
Aur Sab Log Yahi Aake Phisalate Kyu Hai.

Rahat Indori

Dr Rahat Indori Best Collection

Kabhi Akele Mein Mila Kar Jhanjhor Dunga Use,
Jahan Jahan Se Wo Toota Hai Jod Dunga Use,

Mujhe Chod Gaya Ye Kamaal Hai Uss Ka,
Iraada Maine Kiya Tha Ke Chod Dunga Use,

Paseene Baant’ta Phirta Hai Har Taraf Sooraj,
Kabhi Jo Haath Laga To Nichod Dunga Use.

Maza Chakha Ke Hi Maana Hoon Main Bhi Duniya Ko,
Samajh Rahi Thi Ke Aise Hi Chod Dunga Usse,

Bacha Ke Rakhta Hai Khud Ko Wo Mujh Se Shseesha Badan,
Usse Ye Dar Hai Ke Tod Phod Dunga Use.

Rahat Indori

Top 30+ 2 Line Faiz Ahmad Faiz Poetry

Aankh Mein Paani Rakho, Hontho Pe Chingari Rakho,
Jinda Rehna Hai To Tarkeebe Bahut Saari Rakho,
Raah Ke Pathar Se Badh Ke, Kuch Nahi Hai Manjile,
Raaste Awwaj Dete Hai Safar Jaari Rakho.

Rahat Indori

Safar Ki Hadd Hai Waha Tak Ki Kuch Nishan Rahe,
Chale Chalo Ki Jaha Tak Ye Aasman Rahe,
Ye Kya Uthaye Kadam Aur Aa Gayi Manjil,
Maja To Tab Hai Ki Pairo Mein Kuch Thakan Rahe.

Rahat Indori

Rahat Indori Shayari in Hindi

Log Har Mod Par Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyu Hai,
Itna Darte Hai To Fir Ghar Se Nikalte Kyu Hai.

Rahat Indori

Andar Ka Zehar Choom Liya Dhul Ke Aa Gaye,
Kitne Shareef Log The Sab Khul Ke Aa Gaye.

Suraj Se Jung Jeetne Nikle The Bewqoof,
Saare Sipaahi Mom Ke The Ghul Ke Aa Gaye.

Masjid Mein Door-Door Koi Dusra Na Tha,
Hum Aaj Apne Aap Se Mil Jul Ke Aa Gaye.

Neendon Se Jung Hoti Rahegi Tamaam Umar,
Aankhon Mein Band Khwaab Agar Khul Ke Aa Gaye.

Suraj Ne Apni Shakl Bhi Dekhi Thi Pehli Baar,
Aaine Ko Maze Bhi Taqaabul Ke Aa Gaye.

Anjaane Saaye Phirne Lage Hain Idhar Udhar,
Mausam Humare Shehar Mein Kaabul Ke Aa Gaye.

Rahat Indori

10+ Best of Rahat Indori Ghazals

Uski Kathayi Aankho Mein Hai Jantar Mantar Sab,
Chaku, Waaku, Churiya, Wuriya Sab,

Jis Din Se Tum Ruthi, Mujh Se Ruthe Ruthe Hai,
Chadar, Wadar, Takiya Wakiya Sab,

Mujhse Bichad Ka Weh Bhi Kaha Ab Pehle Jaisi Hai,
Fike Pad Gaye Kapde Wapde, Jewar, Vewar Sab.

Rahat Indori

Shayari by Rahat Indori

Samandaro Mein Muaafiq Hawa Chalata Hai,
Jahaaz Khud Nahi Chalte Khuda Chalaata Hai,

Ye Jaa Ke Meel Ke Patthar Pe Koi Likh Aaye,
Wo Ham Nahi Hai, Jinhe Raasta Chalaata Hai,

Wo Paanh Waqt Nazar Aata Hai Namaazon Mein,
Magar Suna Hai Ki Shab Ko Jua Chalaata Hai,

Ye Log Paaon Nahi Zehan Se Apaahij Hai,
Udhar Chalenge Jidhar Rehnuma Chalaata Hai,

Hum Apne Buujhe Chiraagon Pe Khuub Itraaye,
Aur Usko Bhuul Gaye Jo Hawa Chalaata Hai.

Rahat Indori