55+ Top Shayari in Urdu by Famous Poets

55+ Top Shayari in Urdu by Famous Poets - Urdu Shayari

Urdu Shayari By Famous Poets

Wakfe-Hirmaan–O Yaas Rehta Hai,
Dil Hai Aksar Udaas Rehta Hai,
Tum To Gham Deke Bhul Jaate Ho,
Mujko Ehsaan Ka Paas Rehta Hai.

Faiz Ahmed Faiz

~~~~~

Dhalti Hai Mauje-May Ki Tarah Raat In Dino,
Khilti Hai Subah Ghul Ki Tarah Rango Boo Se Pur,
Veeran Hai Jaam Paas Karo Kuch Bahar Ka,
Dil Aarzu Se Pur Karo, Aankhein Lahoo Se Purr.

Faiz Ahmed Faiz

~~~~~

Na Pooch Jab Se Tera Inkaar Kitna Hai,
Ki Jin Dino Se Mujhe Tera Intezaar Nahi,
Tera Hi Aks Hai In Ajnabi Baharon Me,
Jo Tere Lab, Tere Baaju Tera Kinaar Nahi.

Faiz Ahmed Faiz

~~~~~

Aaj Tanhaayi Kisi Humdume-Dairi Ki Tarah,
Karne Aayi Hai Meri Saakigiri Sham Dhale,
Muntajir Bethe Hain Hum Dono Ki Mehtaab Ubhare,
Aur Tera Aks Jhalakne Lage Har Saaye Dhale.

Faiz Ahmed Faiz

~~~~~

Dil Raheene Janam Jahan Hai Aaj,
Har Nafas Tishna-E-Fugaa Hai Aaj,
Sakhat Weeran Hai Mehfile-Hasti,
Ai Ghamedost Tu Kahan Hai Aaj.

Faiz Ahmed Faiz

65+ Romantic Urdu Poetry in Hindi

Maine Har Gham Khushi Me Dhaala Hai,
Mera Har Ik Chalan Niraala Hai,
Log Jin Haadison Me Marte Hain,
Mujko Un Haadison Ne Paala Hai.

Nareshkumar “Shaay”

~~~~~

Shukare-Parwaddigar Karta Shaitaan,
Daulat Apni Nisar Karta Shaitan,
Insan Ki Khabasat – 1 Se Jo Hota Aagah,
Ik Sajda Nahi, Hazar Karta Shaitaan.

1- Khoobi

Josh Malihabadi

~~~~~

Dil Aaj Bhi Paamaal Hai Kya Puchte Ho,
Gardoon Ki Wahi Chaal Hai Kya Puchte Ho,
Arbaabe Siyasat Meri Takseer Muaaf,
Pehle Se Bura Haal Hai Kya Puchte Ho.

Akhtar Rijwani

~~~~~

Sanjh Ki Aandhi Mein Mele Kho Gaye,
Hum Andheron Me Akele Kho Gaye,
Jindagi Yun Maat Humko De Gayi,
Khaamakha Lakhon Jhamele Kho Gaye.

Om Prakash “Nirmal”

~~~~~

Buttkhaane Se Dil Apne Uthaaye Na Gaye,
Kaabe Ki Taraf Mijaaye Laaye Na Gaye,
Taure-Masjid -1 Ko Birahman Kya Jaane,
Yaan Muddate–Umar Mein Hum Aaye Na Gaye,

1- Masjid Ke Taur Tareeke

Urdu Shayari In Hindi

Zindagi Tere Sath Chala Hu Mein Duniya Bhulakar,
Magar Tu Ja Rahi Hai Apne Daman Mein Mere Khusiya Chupakar,
Dil Ki Gehrayi Se Aaj Tumhe Awaaj De Raha Hu,
Aaj Ik Baar, Chale Jana Tum Jara-Sa Muskurakar.

~~~~~

Kyu Iss Tarah Larajte Hai Ye Aansu,
Kyu Iss Tarah Kaanpte Hai Tere Honth,
Kyu Nahi Tumne Samjha Raze-Zindagi,
Kyu Gawa Di Iss Tarah Ye Zindagi Aye Dost.

~~~~~

Haan Akal Ye Kehti Hai Karein Ab Taubaa,
Har Roj Iraada Hai Ki Ishmaab Tauba,
Ab Mausame–Ghul Aa Hi Chuka Aur Sahi,
Is Fasal Mein Taubaa Karein Yaarab Taubaa.

~~~~~

Tanha Si Zindagi Hai, Tanha Hai Aarzoo,
Tanha H Dil Mera, Tanha H Justju,
Kisko Sunaye Kon Sunega Meri Awaaj,
Jab Dil Ki Dhadkano Ko Bhi Sun N Saka Tu

~~~~~

Dil Mujhe Sambhaale Tha Dil Ko Me Sambhaale Tha,
Nagahaa Hawa Aayi Jaanibe Ghulistaan Se,
Koi To Shafak Samjha Koi Garde-Rang Aalood,
Door, “Asar” Bahar Itni Gujri Ehale-Jinda Se.

Asar” Mirza Jafar Ali Khan

60+ Urdu Shayari in Hindi for Girlfriend

Maine Maasum Baharon Mein Tujhe Dekha Hai,
Maine Maahum-1 Sitaaron Me Tujhe Dekha Hai,
Mere Mehboob, Teri Parda Nashini Ki Kasam,
Maine Ashkon Ki Kataron Me Tujhe Dekha Hai.

1-Damakte Huye

Ehmad Nadeem Kaasami

~~~~~

Jajbaat Ko Khayalaat Me Tabdeel Kar,
Khayaalaat Ka Ijhaar Ban Jaaye Ghajal,
Lafjon Ko Alfaaj Mein Jajb Kar,
Najam Ban Sake To Allah Ka Fajal.

~~~~~

Hans Ke Chaak E Jigar Ko Seeta Hoon,
Jaame-Gham Muskuraa Ke Peeta Hu,
Yaad Me Teri Hoke Me Sarshaar,
Kehkahon Mein Samaa Ke Jeeta Hu.

Kamar Jaahibi

~~~~~

Firat Ka Bhio Kya Lutf Kareemana Hai,
Ghanghor Ghataa Jhoomta Paimaana Hai,
Har Katar-E-Shabnam Hai Kaif Sabaa,
Har Fool Chalakta Huaa Paimaana Hai.

Usmaan Aarif Nakshbandi

~~~~~

Saare Prashno Ke Hal Nahi Hote,
Har Samay Sukh Ke Pal Nahi Hote,
Mujko Pathar Dikhaa Ke Kya Loge,
Sookhe Pedon Me Fal Nahi Hote.

Urmilesh

Urdu Shayari on Life

Maayusiye-Mustakil-1 Se Darna Kaisa,
Baatil Mein Sadakat -2 Se Mukarna Kaisa,
Khatraat Se Dar Ke, Tarke Manjil “Farhaat”,
Ye Ain-Hayat Mein Marna Kaisa.

1- Sadaiv Sthaapit Ho Chuki Hatasha
2- Nischalta

Farhat Kanpuri

~~~~~

Kuch Kaan Bhi Kamjor Hain Beenaayi Bhi Kam Hai,
Sojish Hai Jigar Par, Meri Aanton Par Waram Hai,
Poocha Ki Mujhe Aur Sataaoge Kahan Tak,
Bole Ki Jahan Tak Teri Aawaj Me Dum Hai.

Ramaavtaar Tyagi

~~~~~

Dil Mein Nafrat Hai Magar Haste Hain,
Kyunki Muskan Mein Sab Faste Hain,
Is Hansi Ko, Khareed Le Jo Chahe,
Tehjeeb Ke Bhaaw Aaj Saste Hain.

Gopal Krishan Kaul

~~~~~

Tum Se Lipta Prakash Dekha Hai,
Aansuo Me Suhas Dekha Hai,
Jab Bhi Dekha Hai Jindagi Ko To,
Maut Ke Aasapaas Dekha Hai.

Chandrasen Viraat

~~~~~

Bhara Gham Se Hai, Jindagi Ka Fasana,
Ki Rukhsat Hui Daag Dekar Jawani,
Kisi Roj Peeri-1 Bhi Jaayegi Kaayam,
Thamegi Na Ugare Rawaa Ki Rawani.

1- Vriddhawastha

Kaayam Andhosi Gayabi

55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love

Deh Se Choot-Te Praan Ke Pran Huye,
Fool The Hum Kabhi, Ghul Ke Kan Huye,
Yaad Ki Ek Shringaar Shala Me Hum,
Khud Hi Chehra Huye, Khud Hi Darpan Huye

~~~~~

Panja Jallad Ka Btaya Jisne,
Rana Qateel Ka Thapthpaya Jisne,
Kya Hifje Kabutar Ka Nahi Wo Jaamin 1,
Shahi Ko Diya Shikare Taja Jisne.

1. Jamanat Dar

~~~~~

Jeewan Ki Ye Chaayi Hui Andhiyaari Raat,
Kya Jaaniye Kis Mod Pe Choota Tera Sath,
Firta Hu Dagar-Dagar Akela Lekin,
Shaane Pe Mere Aaj Talak Hai Tera Hath.

~~~~~

Aisa Hai Koi Jis Se Huaa Ho Na Gunaah,
Aimaal Se Jiske Aashna Ho Na Gunaah,
Beh Tarke-Gunaah Ka Sabak De Mujko,
Jisne Koi Dunia Mein Kiya Ho Na Gunaah.

Simaab Akbarabaadi

~~~~~

Hai Bahut Dil fareb Kahani Apni,
Gardisho Mein Bhi Beeti H Jindgani Apni,
Tum Agar Aa Sako To Laut Ke Aa Jao,
Tere Bina Bahut Tanha Hai Jawani Apni.

Top Shayari in Urdu

Abra Me Chip Gaya Hai Aadha Chand,
Chandni Chan Rahi Hai Shakhon Se,
Jaise Khidki Ka Ek Pat Kholein,
Jhaakta Ho Koi Salkhakhon Se.

Jaanisar Akthar

~~~~~

Maujon Me Machalta Hu Kinaara Kaisa,
Gir-Gir Ke Sambhalta Hi Sahara Kaisa,
Mere Aansuon Me Rona Hai Jawani Ka,
Aansu Meethe Hain Magar Jaayka Khaara Kesa.

~~~~~

Pyaar Kis Cheej Ko Kehte Hain Log,
Kya Isi Dunia Me Rehte Hain Wo Log,
Kabhi Iccha Hai, Kabhi Aasha Hai,
Tej Dhara Hai Aur Behte Hain Log.

Trilochan

~~~~~

Mein Teri Najar Ki Dua Chahta Hu,
Talabgar Hu, Kinare Ka, Nakhuda Chahta Hu,
Dard Hota Hai Jab Tum Judai Ki Baat Karte Ho,
Wafa Ke Badle Mein Me Teri Wafa Chahta Hu.

~~~~~

Jawani Hi Zamane Par Raaz Karti H,
Jawani Hi Benoor Aankho Ke Khwab Bharti H,
Jawani Ke Karam Se Hi Chuman Muskurata H,
Jawani Hi Har Sawal Ka Jawab Deti H.

55 Whatsapp Status in Urdu by Famous Poets

Husn Ki Khaatir Ishq Har Gam Uthata H,
Sitam Karta H Husn, Ishq Gungunata H,
Zamane Walo Ye Ristha Badha Ajib-Sa H,
Husn Ki Chah Mein Ishq Has-Has Ke Jal Jata H.

~~~~~

Main Kisko Kahoon, Kaun Musalman Nahi,
Itni Meri Himmat, Mera Imkaan–1 Nahi,
Nairangeee-Jamana–2 Se Khulaa Ye “Shayar”
Aalam To Hazaron Hain, Par Imaan Nahi.

1–Himmat
2–Jamane Ka Rang

Aaga Shayar

~~~~~

Jisne Bhi Kaajal Se Aankh Dhulaayi Hai,
Jiski Sudhi Ne Soyi Peer Jagayi Hai,
Satrangi Jiwan Mein Dono Apraadhi Hai,
Jisne Thokar Di Hai, Jisne Khaayi Hai.

~~~~~

Kajal Ki Kothri Me Shahaf Raha,
Fir Naam Tera Kaaf Se Ta Kaaf Raha,
Har Jurm Se Ho Jaayegi Aasan Nijaat,
Maalik Muaamala Agar Saaf Raha.

Aag Shair

~~~~~

Pandat Ji Ghoot Le Ke Kehte Hain,
Kadvi Hai Jaane Kaise Peete Ho,
Me Ye Kehta Hu Yaar Jeena To,
Is Se Bhi Talakh Hai, To Jeete Ho.

Masum Sherghatvi

Top Urdu Shayari Collection

Humne Maana Ki Choor–Choor Hain Hum,
Apne Sapne Se Bahut Dur Hain Hum,
Dekho Umeed Kulaachein Bharti,
Kaise Kehta Koi Majboor Hain Hum.

Narendra Sinha

~~~~~

Chandni Raat Thi Sannata Tha,
Tum Na Thi Dil Mein Jwaar–Bhaata Tha,
Ek Pathar Ko Bhar Bhujaaon Mein,
Maine Muskil Se Waqt Kaata Tha.

Nirankaar Sewak

~~~~~

Khuda Ne Bhi Jab Uss Husn Ko Deedar Kiya,
Apni Rachna Pe Bhi N Usne Aitbar Kiya,
Husn Ko To Mili Thi Sitam Karne Ki Taqat,
Ishq Ko Sitam Sehne Ki Taqat Se Malamal Kiya.

~~~~~

Panth Ko Manjil Samajhkar Ruk Gaya Tha,
Pyaar Ko Apna Samajhkar Jhuk Gaya Tha,
Kyun Hua Aisa, Utha Jab Prashan Man Mein,
Ek Uttar Tha Ki Bhujbal Chuk Gaya Tha.

~~~~~

Kalpana Me Ud Nahi Tu Jindagi Ka Saaj Sun,
Bhaawna Mein Wo Nahi Tu Dard Ki Aawaj Sun,
Chetna Tujme Nahi To, Tu Mehaj Hai Chutkula,
Sun Sake Ab Bhi Agar To Waqt Ki Aawaj Sun.

Virendra Mishra

60 Urdu Status for Whatsapp and Facebook

Rehmat Ka Teri Umeedwar Aaya Hu,
Muh Dhaape Kafan Me Sharamsar Aaya Hu,
Chalne Na Diya Baare-Gunah Ne Paidal,
Taabot Mein Kandhe Pe Sawar Aaya Hu.

Babeer Lakhnavi

~~~~~

Nawab Ne Jo Ki Kaddani Meri,
Aye Daag Gujar Gayi Jawani Meri,
Lekin Ye Khabar Na Thi Wakte-Peeri,
Mar Marke Kategi Jindagani Meri.

Daag Dehlavi

~~~~~

Au Ri Ghataa Tune Ek Boond Bheji Nahi,
Le Pyaase Adhar Yahan Kab Se Khada Hu Main,
Meri Har Agni Tujh Tak Pahuchkar Bani Hu Main,
Sona To Hota Yachak Kitna Bada Hu Min.

Dushyant Kumar

~~~~~

Roj Tum Chand Ka Safar Kar Lo,
Ek Din Aasmaan Ko Ghar Kar Lo,
Atomi Naag Das Na Le Tum Ko,
Uski Beembi Pe Bhi Najar Kar Lo.

Narendra Washisht

Famous Shayari In urdu

Hai Bahut Kathinaaiyaan Insan Ke Aage,
Sab Gawara Hai Mujhe Imaan Ke Aage,
Roshni Badnaam Ho Jaaye Na Is Dar Se,
Rakh Diya, Maine Diya Toofan Ke Aage.

~~~~~

Hindi – Muslim Mein Hind Ki Neew Bhi Hai,
Aftaar Mein Hai Khajoor To Sew Bhi Hai,
“Allah-Allah” Hai Jaban Par Beshak,
Lekin Yak Rang “Bam Mahadev” Bhi Hai,

Akbar Ilaahabadi

~~~~~

Kya Faayda Fikare-Besho Kam Se Hoga,
Hum Kya Hai Jo Koi Kaam Hum Se Hoga,
Jo Kuch Hoga, Hua Karam Se Tere,
Jo Kuch Hoga, Tere Karam Se Hoga.
“Jauk” Shekh Mohammad Ibrahim

~~~~~

Har Chand Buri Maine Rabish Rakhi Hai,
Fitrat Pe Nigaahein–Bekhalish Rakhi Hai,
Gar-Beadawi Na Ho To Itna Poochoon,
Kyun Tune Gunaahon Me Kashish Rakhi Hai.

Tilokchand Mehroom

~~~~~

Choomta Ashaadh Ki Pehli Ghataaon Ko,
Jhoomta Aata Malay Ka Ek Jhonka Sard,
Chedta Man Ki Moondi Maasum Kalio Ko,
Aur Khushbu Sa Bikhar Jaata Hridya Ka Dard.

Dharamveer Bharti

~~~~~

Bhor Hota Hai Naya Soorya Bulaane Ke Liye,
Sanjh Khilti Hai Kisi Chand Ko Paane Ke Liye,
Bas Isi Bhaanti Kisi Geet Ki Behoshi Mein,
Hosh Khota Hu Tumhe Hosh Mein Laane Ke Liye.

Dawe Prataap Nagar