55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love

55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love - Poetry in Urdu

Urdu Poetry Status In Urdu

Aansuon, Ye Batla Do, Kyun Kabhi Jharno Sa Jharte Ho,
Kabhi Ho Jhadi Laga Dete, Kabhi Betarah Bikharte Ho,
Gir Gaye Jab Aankhon Se Tab Kis Liye Unko Bharte Ho,
Nikal Aaye Dil Se Tab Kyun Fir Jagah Dil Mein Karte Ho.

Ayodhya Singh “Hariaudh”

~~~~~

Teri Mehfil Na Sahi, Dard Ki Mehfil Hogi,
Jindagi Ke Liye Koi To Sahara Hoga,
Fikar Toote Huye Khaabon Se Hararat Legi,
Dil Pe Beete Hue Aiyyam Ka Saya Hoga.

Gulam Rabbani

~~~~~

Kya Sitaaron Ke Ishaare, Dhyaan Do,
Keh Rahi Madhu Baat Kya, Tuk Kan Do,
Jindagi, Pyari Khadi Hai Dwar Par,
Aaj Madhu K Parwa, Madhu Ka Daan Do.

Chiranjeet

~~~~~

Har Kashish Pyar Ko Pehchan Nahi Hoti Hai,
Berukhi Har Hawa, Toofan Nahi Hoti Hai,
Tumse Seekhi Hai Yahin Ek Sabak Maine Bhi,
Har Nayi Shakal Meharbaan Nahi Hoti Hai.

~~~~~

Pyaar Hai Kartavya, Mat Adhikaar Samjho,
Pyaar Hai Patwaar, Mat Majhdhaar Samjho,
Pyaar Ko Tolo Na Samta Ki Tulaa Par,
Kyunki Ye Hai Pyaar, Mat Vyaapar Samjho.

60 Urdu Status for Whatsapp and Facebook

Pyaar Dil Ka Bayan Hota Hai,
Jindagi Ke Saman Hota Hai,
Hum Tadapti Jameen Hote Hain,
Dard Jab Aasman Hota Hai.

Purushotam “Prateek”

~~~~~

Ras Ki Aawaj Hai Ki Amrit Ki Fuhaar,
Ye Roop Ki Pyaar Ki Ho Jaise Chumkaar,
Ye Loch, Ye Dhaj, Ye Muskuraahat, Ye Nigaah,
Ye Mauje-Nafas Ki Saans To Hai Bahar.

Firaq Gorakhpuri

~~~~~

Aa Jaaiyega Bare Digar Aankhon Me,
Ho Jaayegi Jalwon Ki Sirah Aankhon Me,
Sach Ye Hai Ki Aankhon Ki Kadoorat Dhul Jaaye,
Dhal Jaaye Jo Wo Husne Najad Aankhon Mein.

Akhtar Rijwani

~~~~~

Toofan Ke Talattum Me Kinara Kya Hai,
Girdaab Mein Tinke Ka Sahara Kya Hai,
Socha Bhi Ai Jist Pe Marne Wale,
Mit-Ti Huyi Maujon Ka Ishara Kya Hai?

Arsh Malsiyani

~~~~~

Dunia Jo Sawar Jaaye, Sawar Jaane De,
Dunia Jo Nikhar Jaaye, Nikhar Jaane De,
Ye Fursate–Najaara Ganimat Hai “Firaak”,
Dil Par Gujar Jaaye To Guijar Jaane De.

Firaak Gorakhpuri

Urdu Poetry About Love

Har Ek Najar Yeh Kaam Karti Bhi Nahi,
Har Ek Nigah Yu Utrati Bhi Nahi,
Sadke Tere Dekhne Ke Jaalim Dil Par,
Padti Hai Wo Chot Bhi Ubharti Bhi Nahi.

~~~~~

Door Manjil Hai, Na Sham Aur Dhal Jaaye,
Behake Paanwon Ko Na Rehgujar Nigal Jaaye,
Pyar To Kar Loon, Magar Aisa Na Ho Jaaye Kahi,
Teri “Maasumiyat” Andaaz Mein Badal Jaaye.

Kishan Saroj

~~~~~

Haste Huye Cherhre Pe Ghajali Aankhein,
Bemisl Jawani Hai Misaali Aankhein,
Ghanghor Ghataayein Bhi Hain Paani-Paani,
Allah Re Gori Ki Ye Kaali Aankhein.

Mushir Jhinjhanawi

~~~~~

Yaaron Ko Kudratein Hain Ab To Humse,
Jis Roj Ki Hum Jaayenge Is Aalam Se,
Us Roj Khulegi Saaf Hum Par Ye Baat,
Is Bajam Ki Raunak Thi Hamare Dum Se.

Meer Taaki Meer

~~~~~

Khuda Ka Noor H, Aaftaab Ki Roshni H Husn,
Jindagi Ka Falsafa, Bandage Ki Paakijagi H Husn,
Husn Ki Rooh Ko Khuda Ki Parsitas Samjo,
Geet Ka Soj, Saajo Ki Jindagi H Husn.

55+ Top Shayari in Urdu by Famous Poets

Ye Sange Nishaan Hai Manjil-Wehdat Ka,
Paida Na Hua Fir Koi Is Surat Ka,
Insaan Jise Kehte Hain Dunia Wale,
Kadde-Aadam Aayina Hai Kudrat Ka.

“Ajmad” Hyderabadi

~~~~~

Ek Baras Me Ek Bar Hi Jagti Holi Ki Jwaala,
Ek Bar Hi Lagti Baaji, Jalti Deepon Ki Mala,
Dunia Walo, Kintu Kisi Din Aa Madiralaya Me Dekho,
Din Ki Holi, Raat Diwali, Roj Manaati Madhushala.

Harivansh Rai Bachchan

~~~~~

Ye Chehra Khilaa Hua Ye Mehke Huye Hont,
Ye Gesuon Ki Lapat Ye Lehke Huye Hont,
Ye Tajadami, Ye Muskurahat, Ye Nashaat,
Sanson Ki Thandi Lau Se Dehke Huye Hont.

Firaq Gorakhpuri

~~~~~

Aankhe Sharabi, Honth Gulabi, Jana Tera Kya Kehna,
Chalti Tu Naagin-Si Balkhati, Jana Tera Kya Kehna,
Ye Madbhari Aankhe, Ye Tirchi Najar,
Ye Honth Jana Tera Kya Kehna.

~~~~~

Ye Teri Aankho Mein Qayamat Ke Kajal,
Hontho Pe Suraj Ki Laali,
Aye Sanam Itna To Bata De Mujhko,
Hai Aaj Kiski Taqdeer Sawarne Wali.

Urdu Poetry About Life

Humne Hi Bithaaya Tujhe Paimaane Par,
Fir Tujko Hi Tera Hai Nasha Aane Par,
Nafrat Se Na Yun Dekh Hume Ai Saaki,
Kuch Hak Hai Hamara Bhi To Maikhaane Par.

Gopaldas “Neeraj”

~~~~~

Apne Honto Se Jara Mera Geet Gunguna Do,
Mere Geeto Ko Tum Kismat Bana Do,
Jane Jaha Inayat Hogi Teri Mujh Par,
Agar Mujhse Se Shikayat H To Has Ke Saja Do.

~~~~~

Feeki Feeki Sham Hawaon Me Ghut-Ti Ghut-Ti Aawajein,
Yun To Koi Baat Nahi Par Fir Bhi Bhari-Bhari Ji Hain,
Maathe Par Dukh Ka Dhundlapan, Man Par Gehri–Gehri,
Mujko Shayad Meri Aatma Aawaj Kahin Se Di Hai.

Dharamveer Bharti

~~~~~

Ik Hashra Simat-Raha Hai, Apni Hi Taraf,
Toofan Jhapat Raha Hai, Apni Hi Taraf,
Kaunen Ka Il Dhadak Raha Hai Ai Dard,
Insaan Palat Raha Hai, Apni Taraf.

Dard Saeedi Taunki

~~~~~

Meri Wafao Ke Bhi Kabil Nahi Ho Tum,
Pyar Mile Saccha Aise Insaan Nahi Ho Tum,
Dil Kyu Karega Tum Par Aitabaar,
Pyar Mein Jo Dhoka De Aise Bewafa Ho Tum.

65+ Romantic Urdu Poetry in Hindi

Dukh Dard Se Kis Waqt Shafa Milti Hai,
Kab Jakhme Mohobbat Ki Dawa Milti Hai,
Aise Bhi Hain Kuch Log Jinhe Dunia Me,
Nakarda Gunaahon Ki Sajaa Milti Hai.

Akhtar Rijwani

~~~~~

Ishwar Na Kare Tum Kabhi Ye Dard Saho,
Dard, Haan Chao To Ise Dard Kaho,
Magar Ye Aur Bhi Bedard Maja Hai Ai Dost,
Ki Haad–Haad Chitak Jaaye Magar Dard Na Ho.

~~~~~

Kalwat Mein N Tha Koi Faqat Mein Aur Yaar,
Sab Subha Dam Aaye Hai Rafik-Oh-Gamkhwar,
Jo Lutf Uthaye Hai Shabe-Wasal Unse,
Wo Kissa Kahe Kon Ki Badle Dil-Jar.

~~~~~

Teesre Shababo-Umar Faani Kya Thi,
Ye Bhi Yaad Wo Kahani Kya Thi,
Gaflat Se Khuli Aankh To Maalum Hua,
Ek Neend Ka Jhonka Tha Jawani Kya Thi.

Safi Lakhnavi

~~~~~

Jagmagati Hai Yun Tasabbur Me,
Tere Aarij Ki Husno Raanaayi,
Shab Ke Pichle Pehar Ghataaon Mein,
Barak Leti Ho Jaise Angdaayi.

Suhail Muradabadi

Urdu Poetry SmS About Life

Dunia Ke Aalam Jauk, Utha Jaayenge,
Hum Kya Kahein Kya Aaye The Kya Jaayenge,
Jab Aaye The Rote Huye Aap Aaye The,
Aap Jaayenge Auron Ko Rula Jaayenge.

“Jauk” Shekh Mohammad Ibrahim

~~~~~

Har Shaksh Ko Daawa Hai Ki Hu Lasaani,
Ab Tak Na Meri Kadar Kisi Ne Na Jaani,
Dekha Jo Ghadaa To Jal Ke Chalni Ne Kaha,
Andhon Ne Bhara Kabhi Na Hum Me Pani.

Josh Malihabadi

~~~~~

Dil Diya Tha Agar Khudaa Ne Tujhe,
Dil Mein Jauke-Gunaah Bhi Hota,
Tu Farishta Sifat Sahi Waayij,
Kaash Tu Ek Aadmi Hota.

~~~~~

Thunth Par Jaise Sharad Ki Chandni O Kshan,
Ret Mein Jaise Nadi Ki Raagini Wo Kshan,
Door Tak Faile Huye Janheen Prantar Mein,
Baasuri Ki Dhun Badi Unmaadini Wo Kshan.

Narendra Sinha

~~~~~

Iss Taali-Aye-Shor Ka To Chara Hi Nahi,
Duniya Mein Ilaaj Ik Humara Hi Nahi,
Aagiyar Ko Nosh Jaan Se Wasal Ki Ya,
Khabar Sharbate-Marg Kuch Gawara Hi Nahi.

60+ Urdu Shayari in Hindi for Girlfriend

Bujhe Hue Armano Ka Bas Itna Sa Kehna Hai,
Humko To Har Pal Ishq Mein Zinda Rehna Hai,
Chahe Sitamgar Kitne Bhi Teer Chalaye Humpar,
Har Teer Ka Jakham Pyar Se Hame Sehna Hai.

~~~~~

Kisi Ko Geet Deta Hoon, Kisi Ko Saaj Deta Hoon,
Bahut Khush Ho Gaya Jis Par Use Kuch Raaj Deta Hu,
Kabhi Jab Paas Mein Kuch Bhi Na Reh Jaata Lutaane Ko,
Teri Soyi Padi Aawaj Ko Aawaj Deta Hu.

Ramswaroop Sindoor

~~~~~

Tabaahi Ke Samaa Najar Aa Rahe Hain,
Saron Pe Wo Mandlaa Rahi Hai Tabaahi,
Ghiri Kishti-E-Umar Kaayam Bhawar Mein,
Bacha Le Ise Doobne Se Ilaahi.

Kaayam Andhosi Gayabi

~~~~~

Tu Kisi Ka Kabhi Apna Na Paraya Hota,
Naam Par Tere Ye Bhram Jaal Na Chaya Hota,
Hindu–Isaayi-Musalmaan Banane Wale,
Toone Insan Banaya Hota.

Nirankaar Sewak

~~~~~

Ye Dard Ki Duniya Bhi Kitni Ajib Hai,
Yaha Ashqo Ka Bhi Jaam Banaya Jata Hai,
Keh Bhi Dete Hai Dil-E-Dard-E-Dastaan,
Phir Bhi Sab Waah Waah Pukare Jate Hai.

Urdu Poetry in Urdu Font

Marna Hai Agar, To Kya Karein, Marna Hai,
Paimnae-Jist Ek Din Bharna Hai,
Lekin Pehle Hai Fikar Iski Laajim,
Jab Tak Jinda Hain, Humko Kya Karna.

Gopi Chand “Amn”

~~~~~

Hai Shabname-Gul Lafta Par Naja,
Halki Patti Najakato Par Naja,
Ek Mein Ki Giraftar Hu Rang-Oh-Bhu Ka,
Phir Bhi Teri Inayato Par Naja.

~~~~~

Karte Nahi Kuch To Kaam Karna Kya Aaye,
Jeete Ji Jaan Se Gujarna Kya Aaye,
Ro Ro Ke Maut Maangne Walo Ko,
Jeena Nahi Aa Saka To Marna Kya Aaye.

Firaq Gorakhpuri

~~~~~

Phir Usi Ek Chand Se Rishta Bana Baithe,
Phir Usi Saadgi Se Fareb Kha Baithe,
Pathron Se Rahe Taalukaat Hamare,
Phir Bhee Sheeshe Ka Aashiyana Bana Baithe.

~~~~~

Barsat Chaman Ko Wajud Mein Lati Hai,
Kudrat Ki Fiza Nashw-Oh-Numa Pati Hai,
Thandi-Thandi Gulo Se Bhu Aati Hai,
Bhini-Bhini Gulo Se Bhu Aati Hai.

55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love

Kaan Tak Pahuche Nahi Jo Raaj Hu,
Hont Tak Jo Ruk Gaye Alfaaj Hu,
Shor Se Hat Kar Jara Mujko Suno,
Asliyat Ki Ek Chup Aawaj Hu.

~~~~~

Aye Hauk Karega Koi Dunia Kya Tark,
Dunia Hai Buri Balaa Are Kaisa Tark,
Mumkin Nahi Kisi Se Tark Ho Dunia,
Jab Tak Na Kare Aap Oose Dunia Tark.

“Jauk” Shekh Mohammad Ibrahim

~~~~~

Samne-Khurro-Khaab Kahan Se Laun,
Aaram Ke Asbaab Kahan Se Laaun,
Roja Mera Imaan Hai “Ghalib” Lekin,
Khaskhana–O-Barfaab Kahan Se Laaun.

Mirza Ghalib

Ye Taaz Nahi, Roop Ki Angdayi Hai,
Ghalib Ki Ghajal Patharo Ne Gaayi Hai,
Ya Chand Ki Albeli Dulhan Chupke Se,
Yamuna Mein Nahane Ko Chali Aayi Hai.

~~~~~

Dil Tha Ki Jo Jaan Tamheed Sahi,
Betati-E-Ishk Wa Hasrate–Deed Sahi,
Hum Aur Fasooradan Ai Tasalli Afsos,
Takraar Rawaa Nahi To Tajdeed Sahi.

Mirza Ghalib

Ghalib Poetry in Urdu

Hai Khalk Hasade Kamash Ladne Ke Liye,
Wehshat Fabs Talaash Ladne Ke Liye,
Yaani Harbaar Soorate-Kaagaje-Baad,
Milte Hain Ye Badmaash Ladne Ke Liye.

Mirza Ghalib

~~~~~

Aatishbaaji Hai Jaise Shagale-Afwal,
Hai Soje-Jigar Ka Bhi Isi Taur Ka Haal,
Tha Moojide Ishk Bhi Kayamat Koi,
Ladkon Ke Liye Gaya Hai Kya Khel Nikaal.

Mirza Ghalib

~~~~~

Chun Apni Dosti Ke Liye Koi Hoshnmand,
Badkhoo Ko Bhoolkar Na Samajh Apna Dardmand,
Gar Chahta Hai Tujhko Jamana Rakhe Ajeej,
Le Kaam Khushmijaaji Se Aur Ban Na Khud Pasand.

~~~~~

Teri Khusi Se Hi Nahi, Gam Se Bhi Rishta Hai Mera,
Mane Ya Na Maane Tu Jindagi Ka Ek Eham Hissa Hai Mera,
Meri Dosti Tumse Sirf Lafzon Tak Simit Nahi,
Rooh Se Rooh Or Dil Se Dil Ka Rishta Hai Mera.

~~~~~

Dehar Mein Hum Wafa Shaaron Ko,
Dosti Ke Bharam Ne Maar Diya,
Dushmano Se To Bach Gaye Lekin,
Doston Ke Karam Ne Maar Diya.

Naresh Kumar Shaad

55 Whatsapp Status in Urdu by Famous Poets

Dard-Mando Ki Sard Aahon Se,
Mukhtalif Mukhtalif Nigahon Se,
Dosti Ka Fareb Khaaya Hai,
Aap Jaise Hi Khairkhaawon Se.

~~~~~

Har Simat Khamoshi Ka Sama Hota Hai,
Aalam Hai Ki Belag Pada Sota Hai,
Aye Dosti, Magar Raat Ke Sannate Mein,
Le-Le Ke Tera Naam Koi Rota Hai.

~~~~~

Gulshan Me Sabaa Ki Justajoo Teri Hai,
Bulbul Ki Juban Pe Guftagoo Teri Hai,
Har Rang Me Jalwa Hai Teri Kudrat Ka,
Jis Fool Ko Sunghta Hu Boo Teri Hai.

Meer Anees Lakhnavi