60 Urdu Status for Whatsapp and Facebook

60 Latest Urdu Status for Whatsapp and Facebook - Urdu Shayari

Urdu Status for Whatsapp

Ai Nitt Naya Behrup Badalne Wale,
Sanche Mein Tilismat Ke Dhalne Wale,
Jo Lamha Kisi Tarah Guzarta Hi Nahi,
Minjumla Kisi Tarah Guzar Jata Hai.

Faani Badayuni

~~~~~

Agar Dil Me Asar Na Tere Gham Ka Hota,
Kahe Ko Ye Laut-Ta, Tadapta Hota,
Kaise Aaram Se Guzarti Aukaat,
Aye Kaash Ki Mera Dil Bhi Tujsa Hota.

Momin Khan “Momin”

~~~~~

Janam Ka Tajurmaa Janaja Hai,
Dil Magar Fool Jesa Taaja Hai,
Me To Najar Milaana Chod Bhi Du,
Kya Karoon Umar Ka Takaaja Hai.

Santosh Anand

~~~~~

Hain Rind Bhi Kitne Laubaali Taubaa,
Kar Lete Hain Bas Roj Khayaali Taubaa,
Kal To Taubaa Se Tod Daala Sagar,
Aaj Sagar Se Tod Daali Taubaa.

Raees Niyaaji

~~~~~

Aate Hi Samne Jijhkane Ki Hai Dair,
Hai Dair To Ab Palak Jhapkane Ki Hai Dair,
Bas Jayenge Tere Dil Mein Hum Aap Hi Aap,
Bas Aankh Utha Ke Tere Takne Ki Hai Dair.

55+ Top Shayari in Urdu by Famous Poets

Us Butt Ne Kaha Ki Tu Hai Beilmo-Khirad,
Kholein Aankhein Jamane Ke Muaafik Ho Ja,
Aakhir Mein Khulaa Ki Iska Matlab Ye Hai,
Allah Ko Chod Mujhpe Aashiq Ho Jaa.

Akbar Ilahbadi

~~~~~

Kehne Ko To Kaaba Bhi Khudaa Ka Ghar Hai,
Dekha To Wahi Iet Hai Ya Pathar Hai,
Haq Ka Markaj Hai Haq-Shanaason Ke Liye,
Ye Seena Bekeena Ajeeb Mandar Hai.

~~~~~

Waqt Apna Sabhi Tarah Guzar Jata Hai,
Acchi Ki Buri Tarah Guzar Jata Hai,
Jo Lamha Kisi Tarah Guzarta Hi Nahi,
Minjumla Kisi Tarah Guzar Jata Hai.

Faani Bandayuni

~~~~~

Maine Pucha Tha Ek Sitaare Se,
Intehaa Bhi Safar Ki Hai Koi,
Sun Ke Mere Sawal Ko Shabnam,
Raat Bhar Foot-Footkar Royi.

Abdul Hamid “Adam”

~~~~~

Bulbul Ki Chaman Mein Humjabani Chodi
Bajme Shokh Mein Sherkhwaani Chodo
Jab Se Dile-Jinda Toone Humko Chodaa
Humne Bhi Teri Ram Kahani Chodi

Asgar

Urdu Best Status for Whatsapp

Yun Na Kaho Ki Gham Tumhara Hai
Yun Na Saho Ki Ye Nahi Paao
Baat Badh Jaaye Na Kahin Itni
Kehna Chaho To Keh Nahi Paao.

Om Prakash “Nirmal”

~~~~~

Aaj Wafa Ki Bastiya Veeran Hai,
Aaj Wafa Ki Basitya Sunsaan Hai,
Zamane Wale Meri Wafa Ka Majak Mat Udhao,
Ye Bhi Wafa Karne Walo Par Ek Iljaam Hai.

~~~~~

Sajan Se Gale Mil Ke Jo Sajni Aayi,
Hoton Pe Thi Baisaakh Ki Khushki Chaayi,
Is Bhaag Mein Aaram Se Jalne Ke Liye,
Aankhon Me Barasta Huaa Sawan Laayi.

~~~~~

Aangan Me Thunak Raha Hai Jidyaaya Hai,
Baalak To Hai Chand Pe Lalchaya Hai,
Darpan Use De Ke Keh Rahi Hai Maa,
Dekh Aayine Mein Chand Utar Aaya Hai.

Firaq Gorakhpuri

~~~~~

Choote Kabhi Jo Kaid Se Toofaan Me Ghire,
Ek Dard Sath Sath Hamesha Liye Fire,
Jab Bhi Khushi Mili To Cheeni Humse Is Tarah,
Baccha Jyun Maa Ki God Se Leharon Me Ja Gire.

Ramanand Doshi

65+ Romantic Urdu Poetry in Hindi

Shabnam Ke Palne Me Kisi Ne Diya Jhulaa,
Jyun Chandni Ke Itra Me Sab Kuch Dhulaa Dhulaa,
Aaj Apna Naam Jo Aya To Yun Laga,
Hafton Umas Ke Baad Jyun Mausam Khulaa Khulaa.

~~~~~

Jeena Ek Ijataraab Ki Soorat,
Aur Marne Ke Hain Anekon Roop,
Jindagi Kya Hai? Poochiye Mujhse,
Ret Par Jaise Chilchilaati Dhoop.

Masum Sherghatvi

~~~~~

Fariyad Hai Kisliye Dare-Yajda Par,
Iljaam Tarsate Ho Kya Shaita Par,
Yajda N Kiye, Kabhi N Shaita N Kiye,
Insan Ne Kiye Hai Jo Sitam Insa Par.

~~~~~

Ye Jo Arse Se Mulakaat Nahi Ki Maine,
Goyaa Deedaar Ki Baraat Nhi Ki Maine,
Thik Nibh Jaaye Jamane Ki Rasam Bhi Tumse,
Isliye Tumse Koi Baat Nahi Ki Maine.

Shiv Bahaddur Singh Bhadauriya

~~~~~

Ek Murge-Chaman Kafas Se Aazad Huaa,
Gulshan Me Gaya, Ooda Bahut Shaad Huaa,
Lekin Abhi Aashiyaan Me Pahuncha Bhi Na Tha,
Udta Hua Fir Aseere-Saiyaad Huaa.

Aasi Uldaani

Urdu Status in Urdu Language

Mar-Mar Ke Lehad Mein, Maine Jaan Paayi Hai,
Yaan Tak Mujhe Teri Hi Kashish Laayi Hai,
Aa, Ai Mere Muh Chupaane Wale Aa Jaa,
Khalwat Hai Shabe-Taar Hai, Tanhaayi Hai.

Amjad Hyderabadi

~~~~~

Kya Khub Bujurgon Ne Hamare Likha,
Aulaad Hain Fal Sare Falon Se Meetha,
Lekin Jo Jara Baag Ka Maali Chuke,
Ho Jata Hai Ye Fal Bhi Kasailaa, Kadwa.

Haafiz Saharanpuri

~~~~~

Kyun Mujhse Takaja Hai “Fande Kholo”,
Kis Tarah Kate Ye Paap “Bolo Bolo”
Bande Ki Taraf Shauk Se Aana Yaaron,
Maayus Allah Se To Pehle Ho Lo.

Unknown

~~~~~

Apne Labo Par Aapne Jo Nagme Saja Liye,
Kayanate-Husn Pe Aapne Kuch Apne Saja Liye,
Ab Kya Missal Du Mein Aapki Mohabbat Ki,
Aapne To Muskura Ke Sane Bana Diye.

~~~~~

Ashru Jam Jaate Hai Ik Dard Ke Pighalne Par,
Shaam Ghir Aati Hai Jaise Ki Din Ke Dhalne Par,
Raat Veeran Me Kuch Aur Bhi Lagti Gehri,
Door Basti Mein Koi Ek Diya Jalne Par.

Sardendu Sharma

60+ Urdu Shayari in Hindi for Girlfriend

Har Yaare-Jfaju Ko Nibaha Maine,
Samjha Har Jhkame-Dil Ko Faha Maine,
Lekin Apne Se Badke Ab Tak Wallah,
Duniya Mein Kisi Ko Nahi Chaha Maine.

~~~~~

Auron Par Jab Aitraaj Kar Jata Hu,
Maut Aaye Na Aaye, Main To Mar Jata Hu,
Dunia Ke Gunaah Pe Kaun Uthaaye Ungli,
Apne Hi Gunaahon Se Dar Jata Hu.

Farhat Kanpuri

~~~~~

Rehgujar Bhi Ek Pal Ko Tehar Jate H,
Dekhne Wale Pal Bhar Mein Behak Jate H,
Machalte Shabab Pe Jab Aati H Jawani,
Phool To Phool H Shabnam Bhi Dehak Jate H.

~~~~~

Jo Rang Udaa Wi Rang Aakhir Laaya,
Dardo–Ghamo-Saazo-Saaz Kya, Kya Paaya,
Sab Jeene Ka Maja Milaa Mohobbat Karke,
Sad Shukra “Firaak” Dil Ko Dukhna Aaya.

Firaq Gorakhpuri

~~~~~

Peeri Chali, Aur Gayi Jawani Apni,
Ai Dard Kahan Hai Jindagaani Apni,
Kal Aur Koi Bayaan Karega Isko,
Kehte Hain Ab Aap Hum Kahani Apni.

Khwaja Mir Dard

Urdu Status for Whatsapp

Kavi Ko Roti Na Do Pet Bhar,
Warna Khaakar Wo So Jaayega,
Pet Me Dard Paidaa Karo,
Geet Ka Janam Ho Jaayega.

Om prakash Aditya

~~~~~

Kuch Soj-Nazar, Darde-Fanaa Baaki Hai,
Dil Me Asar-E-Shero-Nawa Baaki Hai,
Jeene Ka Maja Dekh Liya Tune “Khaamosh”
Khushbash, Ki Marne Ka Majaa Baaki Hai.

Khamosh Sarhadi

~~~~~

Mumkin Ho To Farje-Ishq Pura Kar Le,
Mumkin Ho To Dil Mein Dard Paida Kar Le,
Apna Kar Le Tujhe Yeh Kismat Mein Kaha,
Dukthe Dil Se Teri Tamnna Kar Le.

~~~~~

Najar Ki Juban Jis Ghadi Se Khuli Hai,
Usi Waqt Se Hi Me Ghum Ho Gaya Hu,
Badha Ja Raha Pyaar Kehti Hai Dunia,
Magar “Aap” Se Main To “Tum” Ho Gaya Hu.

Brij Kishore Narayana

~~~~~

Hasti Ke Dukhon Ko, Bekasi Ko Samjho,
Jinda Ho Agar To Zindagi Ko Samjho,
Allah Ko Samjha Hai Na Samjhe Koi,
Insaan Agar Ho, Aadmi Ko Samjho.

Sagar Nijaami

55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love

Dair-Oh K Aba Ki Gard Kab Saaqi,
Iss Masafat Mein Kaam Aati Hai,
Zindagi Ki Dakeek Manjil Tak,
Meykade Ki Gali Ho Jati Hai.

~~~~~

Har Lamhaa Jaise Bhor Ka Toota Huaa Sapan,
Har Saans Jaise Faas Ki Reh Reh Uthe Chubhan,
Is Zindagi Ko Dost Kuch Aise Jiya Hu Main,
Jaise Dhuyein Ki Baah Mein Sehmi Hui Kiran.

Ramanand Doshi

~~~~~

Har Butt Ke Liye Kab Tayi Marte Rahiye,
Kab Tak Ye Kufra Dil Mein Bharte Rahiye,
Ai Dard Jo Kuch Ki Zindagi Baaki Hai,
Allah Ko Apne Yaad Karte Rahiye.

Khwaja Mir Dard

~~~~~

Teri Najar Ne Mujhko Badnaam Kar Diya,
Deewangi Ne Deewane Ko Nakaam Kar Diya,
Aur To Baat Hi Kya Btaye Hum Tumhe,
Isne Mujhko Saare Jaha Mein Gumnam Kar Diya.

~~~~~

Aish Ki Chanw Ho Ya Gham Ki Dhoop,
Jindagi Ko Kahin Panaah Nahi,
Ek Veeran Raah Hai Dunia,
Jispe Koi Kayaamgaah Nahi.

Ehkar Kaashipuri

Urdu Shayari Status Collection

Kam Nigaahon Ko Main Andaaje–Najar Deta Hu,
Besehar Raat Ko Bhi Range-Sehar Deta Hu,
Badghumaan Mujse Khijaa Hai To Khafa Veeraana,
Aamade–Fasale–Bahara Ki Khabar Deta Hoon.

Sardaar Jaafari

~~~~~

Marji Ho, To Sooli Pe Chadna Ya Rab,
Sau Baar Jahannum Mein Jalana Ya Rab,
Maashuk Kahein, Aap Hamare Hain Bujurg,
Naachij Ko Ye Din Na Dikhana Ya Rab.

Josh Malihabadi

~~~~~

Jo Bhi Hota Hai Aap Hota Hai,
Aadmi Ki Bisaat Kuch Bhi Nahi,
Me Jo Aksar Udaas Rehta Hai,
Baat Ye Hai Ki Baat Kuch Bhi Nahi.

Balswaroop Raahi

~~~~~

Mein Aalme-Hasti Mein Fana Hi Ki Nahi,
Mein Ronake-Saman-Wafa Hu Ki Nahi,
Hone Pe Bhi Hai Mujhko N Hone Ka Ghuma,
Aye Bekhudi-Shok Bata Hu Ki Nahi.

~~~~~

Har Naya Fool Nayi Gandh Liye Aata Hai,
Har Bhramar Nawya Pranay–Bandh Liye Aata Hai,
Naye Vichar Ko Rachta Na Purana Baana,
Har Naya Kawya Naye Chand Liye Ata Hai.

Ghulaab Khandelwal

55 Whatsapp Status in Urdu by Famous Poets

Ye Taaj Nahi, Roop Ki Angdaayi Hai,
Ghalib Ki Ghajal Patharo Ne Gaayi Hai,
Ya Chand Ki Albeli Dulhan Chupke Se,
Yamuna Mein Nahane Ko Chali Aayi Hai.

~~~~~

Is Naam Ki Jindagi Mein Kuch Jaan To Hai,
Gar Ban Na Sake Farishta, Insaan To Hai,
Neki Na Huyi Na Ho, Badi Bhi To Na Kar,
Sufi Na Hua Na Ho, Musalman To Ho.

Amjad Hyderabadi

~~~~~

Jawani Mein Kahaniya Ban Jati H,
Jawani Mein Fasane Bhi Ban Jate H,
Jawani Agar Chahe To Yaaro,
Sehra Bhi Gulshan Mein Badal Jate H.

~~~~~

Kosho Se Tapak Rahi Hai Shabnami Saaki,
Phanus Sitaro Ke Hai Madhm Saaki,
Hai, Jald Utha Jam Ki Ab Bajme-Nashat,
Ek Aan Mein Hai Darham Barham Saaki.

~~~~~

Ek Nakkash Liye Betha Hai Rang Aur Kalam,
Aur Kuch Door Bhikhaari Ki Sada Aati Hai,
Bheekh Dete Huye Maasum Haseena Ki Najar,
Ek Muflis Ki Jawani Se Bhi Sharmaati Hai.

Salaam Machhalishahari

Urdu Status by Famous Poets

Tanhaiyo Mein Chupkar Hum Jee Bhar Ke Roo Liye,
Daag Jo Dil Par Lage The We Aansuo Se Dho Liye,
Jaane Kab Se Ye Gam Meri Jindagi Ke Sath Hai,
Wafa Mein Humne Sab Dard Apni Ghazalo Mein Sanjo Liye.

~~~~~

Yun Aur Mile Mukhtalif Haalat Mein Haath,
Aankhon Mein Tha Aankhon Ka Nasha Hath Mein Hath,
Ye Shane Rubaayi Bhi Ki Har Pehloo Se,
Wo Mujh Se Milaate Rahe Har Baat Me Hath.

Akhtar Rijwani

~~~~~

Roshni Ki Talaash Karta Hu,
Chandni Ki Talash Karta Hu,
Aaj Logon Ke Ghane Jungle Mein,
Aadmi Ki Talash Karta Hu.

Chandrasen Viraat

~~~~~

Aaj Jaam Uthya Hai Pehla-Pehla,
Sar Pe Ilzaam Uthaya Hai Pehla-Pehla,
Pehli Baar Tuta Hai Aaj Dil Apna,
Aaj Kadam Ladkhadaya Hai Pehla-Pehla.

~~~~~

Najar Mila Ke Jaane Ja Dil Toda Nahi Jata,
Manjil Pe Jaane Wale Ko Kabhi Moda Nahi Jata,
Kai Armaan Se Jagne Lage Apni Nighao Mein,
Sharab Chij Aisi Hai Jise Choda Nahi Jata.

60 Urdu Status for Whatsapp and Facebook

Hasti Ka Nishan Mita Chuka Hai Kab Ka,
Dunia Se Kadam Utha Chuka Hai Kab Ka,
Kandho Pe Jo Dharke Le Chale Ho Taaboot,
Oh Pyadon! Sawar Ja Chuka Hai Kab Ka.

Banwarilal “Sheela”

~~~~~

Har Chand Buri Maine Ravish Rakhi Hai,
Fitrat Pe Nigaahe-Be-Khalish Rakhi Hai,
Gar Be-Adbi Na Ho, To Itna Poochun,
Kyun Tune Gunaah Mein Kashish Rakhi Hai.

Tilok Chand “Mehroom”

~~~~~

Rukh Se Parda Hata Diya Hota,
Koi Fitnaa Jagaa Diya Hota,
Maaho-Anjum Se Jhaakne Wale,
Kuch To Apna Pata Diya Hota.

Sahir Abohari