10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals

10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals - मेहदी हसन Songs And Ghazal

Mehdi Hassan Ghazal Collection

Bahar Ban Ke Meri Zindagi Mein Tum Aaye,
Issi Bahar Ke Saye Mein Umar Kat Jaye,

Kiya Hai Pyar To Iss Pyar Ka Bharam Rakhna,
Jaha Mein Laaj Wafa Ki Mere Sanam Rakhna,

Kiya H Wada To Wada N Tutne Paye,
Bahar Ban Ke Meri Zindagi Mein Tum Aaye,
Tumhari Maang Mein Chahat Ki Roshni Bhar Du,

Tumhare Naam Mohabbat Ki Har Kushi Kar Du,
Jo Mere Umar Bachi Hai Wo Tumko Mil Jaye,

Bahar Ban Ke Meri Zindagi Mein Tum Aaye,
Gulo Mein Rang Hai Tumse Chaman Ki Sham Ho Tum,

Mera Karar Ho Inn Dhakano Ki Jaan Ho Tum,
Kadam Jo Naaj Se Rakho Gulab Khil Jaye,

Bahar Ban Ke Meri Zindagi Mein Tum Aaye,

Mehdi Hassan

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Seene Se Laga Liya Hai, Judai Ke Ghamo Ko,
Milne Nahi Dete Ye Buchude Huo Ko,

Sambhalte Jaha Bhi Kadam Humare Humne Thokar Khayi Hai,
Chod Diya Tha Jin Raaho Ko Majburi Waha Le Aayi Hai,

Bigade Hue Haalat Humare Kya-Kya Hum Par War Kare,
Apno Ki Surat Ko Tarse Gair N Humse Pyar Kare,

Seene Se Lagaya Hai Judai Ke Gamo Ko,
Milne Nahi Deta Ye Jaha Bichade Hua Ko.

Mehdi Hassan

Mehdi Hassan Famous Ghazals

Husn Se Ishq Ko Do-Char N Kar Dena Tha,
Saaje-Khawabida Ko Bedar N Dena Tha,

Ek Jhalak Se Meri Aankho Ko Hamesa Ke Liye,
Apne Jalwo Ka Talabgar N Kar Dena Tha,

Meri Khamosh Tamnnaao Ko Sun To Lete,
Besune Aapko Inkar N Kar Dena Tha,

Humse Suraj Jo Chipi Thi Chipayi Hi Rakthe,
Jajbaat-E-Dil Ko Gunehgar N Kar Dena Tha.

Mehdi Hassan

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Yoon Hi Chalte-Chalte Raaho Mein,
Inn Raho Mein Mujhe Tum Mil Gaye,

Ye Jaha Mil Gaya,

Meri Umar Kategi Baaho Mein,
Inn Baaho Mein Mujhe Tum Mil Gaye,
Ye Jaha Mil Gaya,

Ye Kehta Hai Dil Mera Jane-Wafa,
Mujhko Bahoo Mein Le Le,
Mein Duniya Ki Najro Se Chip Jau,
Tu Meri Julfo Se Khele,
Jab Aankho Dali Aankho Mein,
Inn Ankho Mein Mujhe Tum Mil Gaye,
Ye Jaha Mil Gaya.

Rahogi Agar Sath Mere,
To Ye Dil Dhadkata Rahega,
Yu Hi Do Dilo Mein,

Mohabbat Ka Shola Bhadkata Rahega,
Jab Saanse Uljhi Saanso Mein,
Inn Saansi Mein Mujhe Tum Mil Gaye,
Ye Jaha Mil Gaya.

Mehdi Hassan

Mehdi Hassan Ghazals Lyrics

Mere Liye Jaha Mein Koi Bhi Kushi Nahi,
Kaha Tak Ye Dard Mein Sahu Dil Hai Koi Pathar Nahi,

Meri Bebasi Par Mujhko Hai Yaki,
Mere Labo Pe Umar Bhar Aaygi Nahi Hasi,

Kushi Ki Hare K Aarzoo Jal Gayi,
Meri Zindagi Rakh Ka Dher Hai,

Maun Aa, Aa Bhi Ja Kisliye Dair Hai,
Gham Ki Tarah Kahi Tujhe Mujhse Dushmani To Nahi.

Mehdi Hassan

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Aye Husn-Be-Misal Teri Kya Missal Du,
Tu Hai Hasi Khyal Tujhe Kya Khayal Du,

Dekha Tujhe To Jeene Ka Arman Mil Gaya,
Afsana-E-Hayat Ka Inwan Mil Gaya,

Iss Dil Mein Kyu N Teri Mohabbat Ko Dhal Du,
Aye Husn-Be-Misal Teri Kya Missal Du,

Sehmi Hui Najar Wo Haya Yaad Hai Mujhe,
Wo Tere Ruthne Ki Ada Yaad Hai Mujhe,

Kaise Tere Khayl Ko Dil Se Nikal Du,
Aye Husn-Be-Misal Teri Kya Missal Du,

Tu Mujhe Lakh Door Sahi Phir Bhi Paas Hai,
Tu Meri Aarzoo Hai Mere Dil Ke Pass Hai,

Aa Apni Har Kushi Tere Daman Mein Daal Du,
Aye Husn-Be-Misal Teri Kya Missal Du.

Mehdi Hassan

Mehdi Hassan Ghazals and Songs

Kyu hum se khafa ho gaye aye jaan-e-tamana
Bheege hue mausam ka maza kyu nahi lete

Ye raat ye barsat ye sawan ka maheena
Aise mein tu sholon ko bhi aata hai paseena
Iss root mein garibo ki dua kyu nahi lete
Bheege hue mausam ka maza kyu nahi lete
Kyu hum se khafa ho gaye ..

Dekho tu zara jhaank ke bahar ki faza mein
Barsat ne ek aag laga di hai hawa mein
Iss aag ko seene mein basa kyu nahi lete
Kyu hum se khafa ho gaye ..

Aaya hai kise raas judayi ka ye alam
Tadpein akele udhar aap idhar hum
Dil-dil se meri jaan mila kyu nahi dete

Kyu hum se khafa ho gaye aye jaan-e-tamana
Bheege hue mausam ka maza kyu nahi lete

Mehdi Hassan

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa,
Aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa,

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi toh,
Rasmo rahe duniya hi nibhane ke liye aa.

Kis-kis ko batayenge judayi kaa sabab hum,
Tu mujhse khafa hai toh jamane ke liye aa.

Kuch toh mere pindare mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi toh kabhi mujh ko manane ke liye aa.

Ek umar se hu lajjate giriya se bhi meharum,
Aye rahate jaan mujhko rulane ke liye aa.

Ab tak dile khush faham ko hai tujh se ummidein,
Yeh aakhiri shame bhi bujhane ke liye aa.

Mana ki mohabbat ka chhipana hai mohabbat,
Chupake se kisi roj jatane ke liye aa.

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane,
Aise hi kisi roj na jaane ke liye aa.

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa,
Aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa.

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi toh,
Rasmo reh duniya ki nibhane ke liye aa.

Kis-kis ko batayenge judayi ka sabab hum,
Tu mujhse kafa hai toh jamane ke liye aa.

Kuch toh mere pindare mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi kabhi mujhko manane ke liye aa.

Ek umar se hu lajjate giriya se bhi mehrum,
Aye rahate jan mujh ko rulane ke liye aa.

Ab tak dile khush faham ko tujh se hai ummidein,
Yeh aakhari shama bhi bhujane ke liye aa.

Mana ki mohabbat ka chupana hai mohabbat,
Chupke se kisi roj jatane ke liye aa.

Jaise tujhe aate hai naa aane ke bahane,
Aise hi kisi roj na jaane ke liye aa.

Mehdi Hassan

Mehdi Hassan Ghazals

Tarke ulfat ka sila pa bhi liya hai..maine
Ab to aaja ke tujhe yaad kiya hai ..maine
Ab to aaja

Aa ke teri judayi na kabhi ras mujhe
Tujh se bhichra to ye hone laga ehsaas mujhe
Apne haatho se koi zeher piya hai..maine
Ab to aaja

Gungunate hai wafa ruhh main rimjhim ke tarah
Samne apne khara hon kisi mujrim ke tarah
Aaj to sharm se muh dhanp lia hai..may ne
Ab to aajaaa

Jo bhi shikwa hai bhulana hi padega tujhko
Ik na ik roz to aana hi padega tujhko
Dil ka darwaja khula chod diya hai. maine
Ab to aaja ke tujhe yaad kiya hai… maine
Ab to aaja…………..

Mehdi Hassan

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Pyar bhare do sharmile nain,
jinse mila mere dil ko chain,
Koi jaane naa kyu mujhse sharmaye,
kaise mujhe tadpaaye.

Dil yeh kahe geet mai tere gaau,
tu hi sune aur main gata jaau
Tu jo rahe sath mere,
duniya ko thukrau tera dil behlau,
Pyar bhare do sharmile nain…….

Roop tera kaliyo ko sharmaye,
kaise koi apne dil ko bachaye,
Paas hai tu phir bhi jalu,
kaun tujhe samjhaye sawan beeta jaaye
Pyar bhare do sharmile nain……..

Dar hai mujhe tujhse bichad na jaau
Kho ke tujhe milne ki rah naa paau
Aisa naa ho jab bhi tera
Naam labon par lau, mai aansu ban jaau
Pyar bhare do sharmile nain…………

Mehdi Hassan

Mehdi Hassan Best Ghazal Lyrics

Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge,
Teri Mehfil Mein Lekin Hum Na Honge.

Zamane Bhar Ke Gham Ya ek Tera Gham,
Ye Gham Hoga To Kitne Gham Na Honge.

Dilo Ki Uljhane Badati Rahengi,
Agar Kuch Mashware Beham Na Honge.

Agar Tu Ittifaaqa Mil Bhi Jaye,
Teri Furqat Ke sadame Kam Na Honge.

‘Hafeez’ Un Se Main Jitna Bad Gumaan Hoon,
Wo Mujh Se Iss Qadar Barham Na Honge.

Mehdi Hassan

10+ Best of Rahat Indori Ghazals

ek sitam aur mere jaan abhi jaan baaki hai
jurm-e-tohin-e-mohabbat ki saza de mujhko
kuch to mehroom-e-ulfat ka sila de mujhko
jism se rooh ka rishta nahi toota hai abhi
haath se sabar ka daman nahi choota hai abhi
abhi julte hue khawabon ka doaan baaki hai

apni nafrat se mere pyar ka daman bhar de
dil-e-gustakh ko mehroom-e-mohobbat karde
dekh toota nahi chahat ka haseen taj mehal
khak bikhre nahi mehke hue yaadoon ke kunwul
abhi taqreer ke gulshan me khizaan baaqi hai

Mehdi Hassan