Collection of Famous 20+ Meer Taqi Meer Poetry in Urdu

Collection of Famous 20+ Meer Taqi Meer Poetry in Urdu

Meer Taqi Meer Poetry 2 Lines

Ameer Zaadon Se Dilli Ke Mat Mila Kar Mir,
Ki Hum Gareeb Hue Hai Inhi Ki Daulat Se.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Yaad Uski Itni Khoob Nahi “Meer” Baaj Aa,
Nadaan Fir Wo Jee Se Bhulaaya, Na Jaayega.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

chashm ho to aainakhana hai dahr,
mooh nazar aata hai deewaron ke beech.

Meer Taqi Meer

Best 25+ Pakistani Qateel Shifai Poetry in Urdu

Subah Hoti Hai Shaam Hoti Hai,
Umra Yuhi Tamaam Hoti Hai.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Kofat Se Jaan Lab Pe Aayi Hai,
Humne Kya Chot Dil Pe Khaayi Hai.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

hamare aage tera jab kisu ne naam liya,
dil-e-sitam-zada ko ham ne tham liya.

Meer Taqi Meer

Collection of Meer Taqi Meer Poetry

Mat Sehal Hume Jaano Phirta Hai Falak Barson,
Tab Khaak Ke Parde Se Insaan Nikalte Hai.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Dil Chale Jaate Hai Kharaam Ke Sath,
Dekhi Chalne Me, Unn Buton Ki Adaa.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

jam gaya khoon kaf-e-qatil pe tera ‘mir’ zi-bas,
unne ro-ro diya kal hath ko dhote-dhote.

Top 30+ 2 Line Faiz Ahmad Faiz Poetry

Hoga Kasu Deewar Ke Saaye Mein Para, Mir,
Kya Kaam Mohabbat Se Uss Aaram Talab Ko.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Dil Gaya Ruswa Hua Aakhir Ko Sauda Ho Gaya,
Iss Do Roj Jist Me Hum Pe Bhi Kya-Kya Ho Gaya.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

kin nindon ab to soti hai aye chashm-e-girya-naak,
mizhgan to khol shahr ko sailaab le gaya.

Meer Taqi Meer

Meer Taqi Meer Poetry in Urdu

Hum aah bhi karte h to ho jate h badnaam,
Wo qatal bhi karte h to charcha nahi hota.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Ab Ke Junoon Me Fasla Shayad Na Kuch Rahe,
Daman Ke Chaak Aur Girebaan Ke Chamak Me.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Mir ke din-o-mazhab ko ab puchte kya ho un ne to,
qashqa khincha dair mein baitha kab ka tark islaam kiya.

Meer Taqi Meer

Famous 30+ 2 Line Bashir Badr Shayari in Hindi

Wo Aaye Bazm Mein Itna To Mir Ne Dekha,
Phir Is Ke Bad Chiragho Main Roshni Na Rahi.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

Dil Wo Nagar Nahi Jo Fir Aabad Ho Sake,
Pachtaoge, Suno To, Ye Basti Ujaad Ke.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

patta-patta buuta-buuta haal hamara jaane hai,
jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai.

Meer Taqi Meer

Meer Taqi Meer Sad Poetry

Hum Khuda Ke Kabhi Kayal Hi Na The,
Unko Dekha To Khuda Yaad Aaya.

Meer Taqi Meer

♠♠—♣♣—♥♥

An Toh Chalte Hain Butkade Se Aye Mir,
Phir Milenge Gar Khuda Laya.