Best 25+ Pakistani Qateel Shifai Poetry in Urdu

Best 25+ Pakistani Qateel Shifai Poetry in Urdu Language

2 Line Qateel Shifai Poetry in Urdu

Meharbaan Teri Najar, Teri Adaayein Kaatil,
Tujko Kis Naam Se Aye Dost Pukaara Jaaye.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Ik Dhoop–Si Jamee Hai Nigaaho Ke Aaspaas,
Ye Aap Hai To Aap Pe Kurbaan Jaaiye.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Log Kehte Hain Jinhe Neelkawal, Wo To “Qateel”,
Shab Ko In Jheel Si Aankhon Mein Khila Karte Hai.

Qateel Shifai

Top 30+ 2 Line Faiz Ahmad Faiz Poetry

Uff Wo Marmar Se Tarasha Huaa Shaffak Badan,
Dekhne Wale Use Tajmahal Kehte Hain.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Gungunaati Hui Aati Hai Falak Se Boondein,
Koi Badli Teri Paajeb Se Takraayi Hai.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Kaanch Ki Chadar Sabke Paas Hai,
Aaj Yahin Sabka Libaas Hai.

Qateel Shifai

Qateel Shifai Poetry in Roman Urdu

Husn Ko Chand Jawaani Ko Kanval Kehte Hai,
Unn Ki Surat Nazar Aaye To Ghazal Kehte Hai.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Na Jaane Kaun Si Manjil Pe Aa Pahucha Hai Pyaar Apna,
Na Humko Aitbaar Apna Na Unko Aitbaar Apna.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Chalo Accha Hua Kaam Aa Gayi Deewanagi Apni,
Varagana Hum Jamane Bhar Ko Samjhaane Kahan Jaate.

Qateel Shifai

Famous 30+ 2 Line Bashir Badr Shayari in Hindi

Bhar Bhar Dekhein Tujko Najrein, Aate-Aate Log,
Dekh Mujhe Badnaam Na Kar De Hiraani Jaisi Chaal.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Haalat Se Khauf Kha Raha Hoon
Shishe Ke Mehal Bana Raha Hoon

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Hazar Band Ho Dairi-Haram Ke Darwaze
Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai.

Qateel Shifai

2 Line Poetry by Qateel Shifai

Kisi Ped Par Nahi Chandni,
Man Panchi Kitna Udaas Hai.

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Waada phir waada hai main zehar bhi pee jaun “Qateel”
Shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Yaaro ye daur jauf-e-basaarat ka daur hai
Aandhi uthe to usko ghata keh liya karo

Qateel Shifai

25+ Famous 2 Line Ahmad Faraz Poetry

Kabhi na socha tha hmne “Qateel” us ke liye
Karega ham pe sitam wo bhi har kisi ki tarah

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Hath diya use mere hath mein
Main to wale ban gaya ek raat me

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yaar “Qateel”
Gali-gali taqseem na tum apne jajbaat karo

Qateel Shifai

2 Line Qateel Shifai Poetry

Mil bhi lete hain gale se apne matlab ke liye
Aa pade mushqil to nazarein bhi chura lete hain log

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Kabhi na khtm kiya main ne roshni ka muhaaz
Agar chiraag bujha, dil jala liya maine

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Raas aaya nahi tasqi ka sahil koi
Phir mujhe pyaas ke dariya mein utara jaaye

Qateel Shifai

85+ Top 2 Line Mirza Ghalib Poetry in Urdu

Raat ke sannate mein hamne kya-kya dhoke khaaye hai
Apna hi jab dil dhadka to ham samjhe wo aaye hai

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
Main tujhko bhool ke zinda rahu khuda na kare

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Thi Zindagi ki yeh bhi Zaroorat Magar Qateel
Majbooryon ne Pyar ki Muhlat na di Hamein

Qateel Shifai

Qateel Shifai Poetry Collection

Girte hain Samandar mein bare Shoq se Darya
Lekin kisi Darya mein Samandar nahi Girta

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Tujh ko choo lo to phir aye Jaan-e-Tamanna mujh ko
Der tak apne Badan se teri Khushboo aaye

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Khak Muth’ti mein liye Qabar ki main Sochta hon
Hum jo Marte hain to Khawab Kidhar jate hain

Qateel Shifai

130+ 2 Line Status on Life and Love for Whatsapp

Kuch to hon gi Mohabbat ki Majbooryan
Kon Sehta hai Warna kisi ke Sitam

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Woh teri bhi to pehli Mohabbat na thi Qateel
Phir kya hua agar Koi Har Jayi ban gia

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Parindo ki Fitrat se aaye the woh mere Dil mein
Zara pankh nikal aaye, to Aashyana chor dia

Qateel Shifai

Qateel Shifai Sad Poetry in Urdu

Udas Zulmat ki raat mein jo Sihum-Sihum kar Mar gya tha
Saba ki Pehli Kiran mein jaane Kaisi Shiddat keh jal gya woh

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Izhar hum Karein ya Ibteda Udhar se ho
Muddat Guzar gayi hai isi Soch-Soch mein

Qateel Shifai

125+ Collection of 2 Line Beautiful Hindi Love Shayari

Dunya mein Qateel is sa munafiq nahi koi
jo Zulm to Sehta hai Baghawat Nahi karta

Qateel Shifai

♠♠—♣♣—♥♥

Yeh mojzah bhi Mohabbat Kabhi Dekhaye Mujhe
Keh sung tujh peh Gire aur Zakham aaye Mujhe

Qateel Shifai