25+ Sad Ghazal in Urdu for Boyfriend

25+ Sad Ghazal in Urdu for Boyfriend - Top Sad Ghazal Sms

Latest Sad Ghazal in Urdu

Ye Basti Jani-Pehchani Bohat Hai,
Yaha Waado Ki Arjaani Bohat Hai,

Shigufta Lafj Likhe Jaa Rahe Hai,
Magar Lehjo Mein Virani Bohat Hai,

Sabuk-Jarfo Ke Kaabu Mein Nahi Lafj,
Magar Shoke-Gul-Afshani Bohat Hai.

Hai Bajaro Mein Pani Sar Se Uncha,
Mere Ghar Mein Bhi Tugyani Bohat Hai,

N Jaane Kab Mere Sehra Mein Aaye,
Wo Ek Dariya Ki Tufani Bohat Hai,

N Jaane Kab Mere Aangan Mein Barse,
Wo Ek Badal Ki Nuksani Bohat Hai.

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Marije-Mohabbat Unhi Ka Fasana,
Sunta Raha Dum Nikalte-Nikalte,

Magar Jikre Shame-Alam Jab Bhi Aaya,
Chirage-Sehar Bujh Gaya Jalte-Jalte,

Irada Tha Turke Mohabbat Ka Lekin,
Fareb-E-Tabssum Mein Phir Aa Gaye Hum,

Abhi Khake Thokar Sambhalte-Sambhalte,
Magar Koi Wadda Khilafi Ki Had H,

Hisab Apne Dil Mein Lagakar To Dekho,
Kayamat Ka Din Badalte-Badalte,

Unhe Khat Mein Likha Tha Dil Mujtarib H,
Jawab Unka Aaya Mohabbat N Karte,

Tumhe Dil Lagane Ko Kisne Kaha,
Badal Jayega Dil Behalte-Behalte,

Wo Mehama Rahe Bhi To Kab Tak Humare,
Hui Shama Gul Aur Dube Sitare,

‘Kamar’ Iss Kadar Unko Jaldi Thi Ghar Ki,
Wo Ghar Chal Diye Chandni Dhalte-Dhalte.

Kamar Jalalabadi

Sad Dosti Ghazal in Urdu

Abhi Hamare Muhasare Mein Sadakato Ka Guzar Nahi Hai,
Kadam-Kadam Masalhat-Shanasi, Gawarpan Hai, Hunar Nahi Hai,

Haseen Logi Ki Anjuman Mein Sukun Milta Hai Baithne Se,
Hamari Bekaif Sahato Ko, Unn Anjuman Ki Khabar Nahi Hai,

Ye Baat Mehsus Kar Rahe Hai Shajar Pe Baithe Hue Parindo,
Siwaye Chand-Ek Ke Jami Par Kisi Ka Mehfuj Ghar Nahi Hai,

Shaded Halat Ke Takajo Ko Jaan Lete The Log Pehle,
Ghuma Gujarta Hai A Ki Shayad Koi Bhi Ahle-Najar Nahi Hai,

Wafa Ki Raaho Pe Gaamjan Hai Mere Kabeele Ke Log Tanha,
Riya Ke Iss Daure-Pur-Jafa Mein Kisi Ko Baatil Ka Dar Nahi Hai,

Sitam Ke Hatho Shikasta-Dil Hai Tamam Basti Ke Log ‘Kavish’,
Magar Ye Afsos Hai Ki Unme Koi Bhi Aashufata-Sar Nahi Hai.

Kavish Bat

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Bas Ek Hijar Ke Mausak Ka Rang Gehra Tha,
Har Ek Rut Ko Chakha Tha, Barat Ke Dekha Tha,

Uss Ek Lamhe Mein Kitne Kayamate Tooti,
Bas Ek Lamhe Ko Tee Asar Se Nikala Tha.

Koi Chira Bhi Rakte-Safar Mein Rakh Lete,
Safar Mein Raat Bhi Aayegi Ye N Socha Tha,

Khud Apne Aapko Chune Ka Hausla N Raha,
Ki Mere Jism Pe Mera Hi Khoon Phaila Tha,

Wo Aaj Mujhme Mila Hai To Kitna Banjar Hai,
Jo Apni Aankh Mein Sawan Ke Rang Raktha Tha,

N Uski Chaw Thi Meri, N Phool The Mere,
Shjar Tha Sehan Mein Apne, Magar Paraya Tha,

Wo Saahilo Pe Pada, Ab Khala Ko Takta Hai,
Jo Paaniyo Mein Utarta Tha, Seep Chunta Tha,

Ata Hai Dhool Se Karma Hai Taak Bhi Suna,
Kabhi Gulab Saje The, Charag Jalta Tha.

Kyyum Taahir

Sad Ghazal in Urdu About Love

Kaanch Ki Chadar Sabke Paas Hai,
Aaj Yahi Sabka Libaas Hai,

Hamne Sabar Ke Ghoont Pee Liye,
Kya Talkhi Hai Ky Amithas Hai,

Nadi Nahi Do Ashq Chaiye,
Hamme Ek Muflish Ki Pyas Hai,

Kisi Pedh Par Nahi Chandni,
Mann-Panchi Kitna Udhas Hai,

Apne-Apne Bhare Khoon Se,
Khali Jis-Jiska Glaas Hai,

Aaj Ka Tithra Hua Aadmi,
Audhe Hue Khofo-Hiras Hai,
Saunp Diye Sab Gam ‘Kateel’ Ko,
Kismat Kya Murdm-Shanas Hai.

Qateel Shifai

15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Kyu Hua, Kaise Hua, Yeh Kya Hua,
Ghumta Hai Parshan Ek Dara Hua,

Bina Mausam Sehar Mein Aayi Bahar,
Har Parinda Daal Par Sehma Hua,

Thartharata Abhi Tak Pul-Sa Badan,
Train Ko Gujre Hue Arsa Hua,

Uth Raha Andhi Gali Se Dhua,
Rajpath Par Fir Koi Jalsa Hua,

Kaha Se Nikla N Jaane Kab, Kidhar,
Yeh Ajnabi Safar Ab Ghar-Sa Hua,

Jhunjhune-Sa Baj Raha Hai Desh Yeh,
Devkul Mein Fir Koi Paida Hua,

Patharo Ki Dithiyo Mein Fir Hasi,
Kya Kahi Fir Dhool Ka Sauda Hua,

Chatkane Deewan Seeshe Ki Lagi,
Dard Phir Tapkar Koi Shola Hua.

Dr. Ramdarsh Mishar

Sad Alone Ghazal in Urdu

Tujh Se Bichadkar Aas Ki Chadar Naine Agar Failayi N Ho,
Mere Ghar Ke Darwajo Ki Aankho Mein Binayi N Ho,

Shab Bhar Tere Khawab Bune The Meri Jaagi Aankho Ne,
Din Bhar Ye Ehsaas Raha Hai Aaj Kahi Tu Aayi N Ho,

Doob Ke Mar Jaane Ki Khawaish Jaagi Hai To Dair N Kar,
Mumkin Hai Fir Iss Dariya Mein Itni Bhi Gehrayi N Ho,

Basti-Basti Jagmag-Jagmag Darwaajo Par Dastaj Du,
Aur Koi Awwaj N Ubhre Aisi Bhi Tanhayi N Ho,

Dorahe Par Milne Wale Milna Hai Ti Aise Mil,
Khawab Ke Guldaan Ne Toot Yaadi Ki Purwayi N Ho,

Jisne Deewaro Pe Apne Ujhale Akas Ko Choda Hai,
Kamre Ki Khamosh Faza Bhi Usne Hi Mehkayi N Ho,

Anjaane Rasto Ke Musafir Kya Aisa Bhi Mumkin Hai,
Tere Naam Se Ghazle Likhhu Aur Teri Ruswayi N Ho.

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Garche Hadse Gujre Hai Paaniyo Ki Tarah,
Kamosh Reh Gaye Ham Log Saahilo Ki Tarah,

Kisi Ke Samne Main Kis Liye Jub Kholu,
Mili Hai Apni Ana Mujhko Dushman Ki Tarah,

Tere Baigar Najar Aaye Hai Mujhe Aksar,
Makan Ke Daro-Deear Kaatilo Ki Tarah,

N Jaane Kon-So Manjil Ko Chal Doye Pate,
Bhatak Rahi Hai Hawaye, Musafir Ki Tarah,

Hami Ne Khol Ke Lag Rooh Phoonk Di, Warna,
Tamam Harf The Bejaan Patharo Ki Tarah,

Main Roo Raha Tha Shabe-Gam Ki Julmato Se Bohat,
Khuda Ka Shukr, Jale Jhakm Mashalo Ki Tarah,

Yahi Wo ‘Kaif’ Hasad Hai Ki Dil Bhi Yaaro Ke,
Siyaah Ho Gaye, Likhe Hue Khato Ki Tarah.

Kaif Ansari

Sad Ghazal in Urdu Facebook

Roo Ke Kuch Dair Gubaar Aankh Ka Dho Le Ham Bhi,
Apne Bhi Dil Ka Jara Aaj Tatole Ham Bhi,

Naam Lekar Kabhi Hamko Bhi Pukare Koi,
Apna Darwaja Kisi Roj To Khole Ham Bhi,

Lafzo-Mani Bhi Ubharne Lage Sannate Se,
Daro-Deewar Jo Bole Hai To Bole Ham Bhi,

Jee Mein Aata Hai Kabhi Unka Taswur Lekar,
Koi Jata Ho Kahi, Sath Mein Ho Le Ham Bhi.

Karar Nuri

25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets

Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya,
Yeh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya,

Aaj Musqil Tha Sambhalna Aye Dost,
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya,

Din Gujara Tha Badhi Musqil Se,
Yeh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya,

Phir Tera Wada-E-Shab Yaad Aaya,
Tera Bhula Hua Paigam-E Wafa,

Mar Rahe The Magar Ab Yaad Aaya,
Phir Kahi Log Najar Se Gujre,

Phir Koi Sehar-E Tarab Yaad Aaya,
Hale-Dil Hume Bhi Sunate Lekin,

Jab Weh Ruksat Hua Tab Yaad Aaya,
Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya,

Baith Saya-E Gul Mein ‘Naasir’,
Hum Bahut Roye Jab Weh Yaad Aaya.

Naasir

Best Sad Ghazal in Urdu

Nitt Nayi Khushfehmio Mein Mubtilaa Rakhta Hu Main,
Khalak Ke Hatho Ko Masroofe-Duaa Rakhta Hu Main,

Khushk Dharti Ko Ataa Karta Hu Saya Abra Ka,
Katraa E Baraa Pe Dariyaa Ki Binaa Rakhta Hu Main,

Dhund Hi Leti Hai Mujko Dhundne Wali Najar,
Apne Saaye Ko Agarche Lapata Rakhta Hu Main,

Kyun Bhala Aasudagi Mere Mukaddar Me Nahi,
Kis Liye Din Raat Khud Ko Jagata Rakhta Hu Main,

Fookta Rehta Hu Behare –Lafaj Mein Khaalid Fusoon,
Mauje-Maani Ko Talattum -Ashna Rakhta Hu Main.

Shaalid Sheeraji

20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets

Mere Gale Pe Jame Haat Mere Apne Hain,
Jo Lad Rahe Hain Mere Saat Mere Apne Hain,

Shikast Khaa Ke Me Bhi Fateh Ke Juloos Me Hu,
Ki De Gaye Jo Mujhe Maatmere Apne Hain,

Meri Tarah Se Ye Kacche Gharon Me Rehte Hain,
Jo Gher Laaye Hain Barsaat Mere Apne Hain,

Agar Nahi Hai Ye Shammo-Kamar Mere Bas Me,
Yahin Bahut Hai Ye Din –Raat Mere Apne Hain,

Koi Sune Na Sune, Koi Daad De Ki Na De,
Yahin Bahut Hai, Khayaalaat Mere Apne Hain,

Kisi Ke Dil Mein Basa Hu Kisi Ki Aankhon Mein,
Ye Toote Foote Kamalaat Mere Apne Hain.

Jafar Khaan Niyaaji

Sad Ghazal in Urdu

N Aas Hai N Koi Intezaar Jeete Hai,
Kuch Iss Tarah Se Tere Dil-Fagar Jeete Hai,

N Koi Shikwa N Lab Par Koi Shikayat,
Ajab Sukun Se Hum Sogwar Jeete Hai,

Khija-Badosh Baharo Ke Khair-Makdam Ko,
Fasurda-Dil Hai Magar Bekarar Jeete Hai,

Jahane-Ahle-Wafa Kab Ko Ho Chukka Veera,
Bas Ek Hum Hai Ki Misle-Bahar Jeete Hai.

20 Best Ghazals All Time in Hindi

Ye Intezar Galat H Ki Sham Ho Jaaye,
Jo Ho Ske To Abhi Daure Jam Ho Jaaye,

Muj Jese Rind Ko Bhi Dafatan Ya Rab,
Bula Lia Hai To Kuch Intezam Ho Jaaye,

Hui Mehangi Bahut Hi Sharab Ki Thodi Thodi Piya Karo,
Pio Lekin Rakho Hisab Ke Thodi Thodi Piya Karo,
Gham Ka Daur Ho Ya Khushi, Samaa Bandhti Hai Sharab,
Ik Mashwara Hai Janab Ki Thodi Thodi Piya Karo,
Hui Mehangi Bahut Hi Sharab ……….

Dil Ke Zakhmo Ko Seena Kya, Peene Ke Liye Jeena Kya,
Fook Dale Jigar Ko Sharab Ke Thodi Thodi Piya Karo,
Hui Mehangi Bahut Hi Sharab ……….

Dilbar Ki Baato Me Nasha, Zulfo Me Nasha, Aankho Me Nasha,
May Se Badhakar Uska Shabab Ki Thodi Thodi Piya Karo,
Hui Mehangi Bahut Hi Sharab ……….

Pio, Lekin Rakho Hisab Ki Thodi Thodi Piya Karo,
Hui Mehangi Bahut Hi Sharab Ki…..

Best Sad Ghazal SmS in Urdu

N Aas Hai N Koi Intezaar Jeete Hai,
Kuch Iss Tarah Se Tere Dil-Fagar Jeete Hai,

N Koi Shikwa N Lab Par Koi Shikayat,
Ajab Sukun Se Hum Sogwar Jeete Hai,

Khija-Badosh Baharo Ke Khair-Makdam Ko,
Fasurda-Dil Hai Magar Bekarar Jeete Hai,

Jahane-Ahle-Wafa Kab Ko Ho Chukka Veera,
Bas Ek Hum Hai Ki Misle-Bahar Jeete Hai.

15+ Ghazal Poem About Love in Hindi

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Waale,
Ab Na Aayenge Palat Kar Kabhi Jaane Waale,

Kya Milega Tujhe Bikhre Hue Khwaabo Ke Siwa,
Aye Rait Pe Chand Ki Tasveer Banaane Waale,

Sab Ne Pehna Tha Badhe Shoq Se Kaghaz Ka Libaas,
Jis Kadar Log They Baarish Mein Nahaane Waale,

Mar Gaye Hum To Ye Qutbe Pe Likha Jayega,
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Waale,

Dar-O-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”,
Jaane Kis Desh Gaye Pyar Nibhaanay Waale

Qateel Shifai

Very Sad Ghazal in Urdu for Cry

Aaj Ki Raat B Meri Guzri H Kal Ki Tarah,
Hath Aaye Na Sitaare Tere Aanchal Ki Tarah,

Raat Jalti Hui Ek Esi Chitaa Hai Jispar,
Teri Yaade Hain Sulagte Huye Sandal Ki Tarah,
Haath Haaye Na Sitaare……

Tu Ki Dariya Hai Magar Meri Tarah Pyasa Hai,
Me Tere Pas Chala Jaunga Badal Ki Tarah,
Haath Haaye Na Sitaare …….

Main Hu Ik Khwaab Magar Jaagti Aankho Ka Ameer,
Aaj Bhi Log Gawaa Na De Mujhe Kal Ki Tarah,
Haath Haaye Na Sitaare ……..

Ameer Kajalbaash

25+ Sad Ghazal About Life and Death

Khuda Ka Zikar Kre Ya Tumhari Baat Kare,
Hume To Ishq Se Matlab Kisi Ki Baat Kare,

Gulon Ke Rang Se Khushbu Se Hai Garaz Humko,
Chaman Ko Jaayein To Kuch Taazgi Ki Baat Kare,
Hume To Ishk Se Matlab ………

Tumhari Bajam Me Sab Rind Bhi Hain Shekh Bhi Hain,
Peeye Sharab Bhi Neki Badi Ki Baat Karein,
Hume To Ishk Se Matlab…..

Farishte Tum Bhi Nahi Farishte Hum Bhi Nahi,
Hum Aadmi Hain To Fir Aadmi Ki Baat Karein,
Hume To Ishk Se Matlab…….

Kadam Kadam Pe Jahan Maut Intezaar Kare,
Bada Mazaa Hai Agar Zindagi Ki Baat Kare,
Hume To Ishq Se Matlab ……….

Sad Dosti Ghazal in Urdu

Samundaro Pe Baras Kar Nikal Gaye Badal,
Ye Raaz Jaan Ka Rasta Badal Gaye Badal,

Bahut Dino Se Wo Dono Hi Tanha Tanha The,
Gale Mili Jo Duaa To Pinghal Gaye Badal,

Ye Raaz Jaan Ka Rasta Badal Gaye Badal,
Samundaro Pe Baras Kar Nikal Gae Badal,

Mere Wajud Ko Jal Thal Banaa Kea Age Badhe,
Jo Meri Aankho Taka Aye Sambhal Gae Badal,
Ye Raaz …..

Ye Raaz Jaan Ka Rasta Badal Gaye Badal,
Na Jaane Kaun Sa Ghar Zulmio Ne Fook Dia,
Buland Shole The Itne Ki Jal Gaye Badal,
Ye Raaz Jaan Ke ……
Ye Raaz Jaan Ka Rasta Badal Gaye Badal.

30+ Best of Bewafa Ghazal In Hindi

Hokar Bahut Udhas Sehar Chod Rahi Hai,
Sacchai Rafta-Rafta Asar Chod Rahi Hai,

Batware Ne Jis Din Se Ghar Mein Paav Pasare,
Hare K Kushi Deewaro-Dar Chod Rahi Hai,

Isko Milega Pyar, Ya Stove Piya Se,
Babul Tumhari Bitiya Jo Ghar Chod Rahi Hai,

Ye Rajneeti Bhi To Tawayaf Se Kam Nahi,
Pakda Hai Iska Hath Udhar Chod Rahi Hai,

Man Mein Ye Tere Jang Laga Degi Siyasat,
‘Anjum’ Ye Aaj Fan Ki Kadar Chod Rahi Hai.

Ashok Anjum

Sad Ghazal Sms in Urdu Facebook

Raste Mein Wo Mila Accha Laga-2
Suna Suna Rasta Accha Laga
Raste Me Wo ……

Itne Shikwe The Mujhe Takdir Se,
Aaj Kismet Ka Likha Accha Laga,
Raste Me Wo ..

Mujme Kya Hai Mujko Kab Maaloom Hai,
Wo Hi Jaane Usko Kya Accha Laga,
Raste Me Wo.

Uski Surat Se Laga Mujko ‘Nijaam’,
Usko Mera Dekhna Accha Laga,
Raste Me Wo ……….

20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics

Halaat Maikade Ke Karwat Badal Rahe H,
Saaki Behak Raha Hai Maykasgh Sambhal Rahe H,
Tum Shauk Se Manaao Jashne Bahar Yaaron,
Is Roshni Se Lekin Kuch Ghar Bhi Jal Rahe Hain,
Saaki Behak Raha Hai ……..

Ai Humsafar Ye Shayad Tujko Khabar Nahi Hai,
Kuch Haadse Bhi Mere Humraah Chal Rahe Hain,
Saaki Behak Raha Hai ….

Kitne Ghamon Ko Humne Hanskar Chipaa Lia Hai,
Kuch Gham Ameer Lekin Ashkon Me Dhal Rahe Hain,
Saaki Behak Raha Hai ………

Sad Ghazals in Urdu Language

Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi-2
Aao Kahin Sharab Peeyein Raat Ho Gayi-2
Kuch Bhi Bacha Na ……

Tauba Ki Tutne Ka Mujhe Bhi Malaal Hai -2
Par Kya Karein Ki Shehar Mein Barsaat Ho Gayi -2
Kuch Bhi Bacha Na ……

Fir Yun Hua Ki Wakt Ka Paasa Palat Gaya-2
Umeed Jeet Kit Hi Magar Maat Ho Gayi-2
Kuch Bhi Bacha Na …….

Naksha Utha Ke Koi Naya Shehar Dhundiye-2,
Is Shehar Me To Sab Se Mulakaat Ho Gayi-2
Kuch Bhi Bacha Na ……..

20+ Best Romantic Ghazal in Urdu for Her

Tumse Milkar Hi Yakin Hota Hai,
Koi Itna Bhi Hasin Hota Hai,
Tumse Milkar Hi…..

Wo Samajhte Nahi Khamoshi Ko-2,
Humse Ijhaar Nahi Hota Hai-2,
Tumse Milkar Hi…….

Tumko Dekhe Bhi To Dekhe Kaise,
Dil Kahin Hosh Kahin Hota Hai,
Koi Itna Bhi Hasin Hota Hai,
Tumse Milkar Hi ………..

Ek Hi Baar Behakti Hai Nazar-2,
Ishk Sau Baar Nahi Hota Hai,
Tumse Milkar Hi ………….

Sad Ghazal For Boyfriend

Mandiro Ke Gaon Mein Bhagwan Se Darte Hai Log,
Kya Wajah Hai Dharm Se, Imaan Se Darte Hau Log,

Muskurate Hai Magar Pehchante Bilkul Nahi,
Wastvikta Hai Ki Ab Mehman Se Darte Hai Log,

Cha Gaya Aatank Kitna Aajkal Mastisk Par,
Hai Nahi Talwar, Khali Mayyan Se Darte Hai Log,

Kyunki Ab Shaitan Ki Pehchan Karna Hai Kathin,
Hai Yahi Karan Ki Ab Insaan Se Darte Hai Log,

Choksi Ke Waste Hai Dawar Par Jisko Rakha,
Kya Samay Aaya Hai Iss Darban Se Darte Hai Log.

Krishan Mitar

15+ Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover

Aadmi Aadmi Ko Dhota Hai,
Haadsa Iss Tarah Bhi Hota Hai,

Jo Wasolo Ke Pass Hota Hai,
Aap Apna Saliba Dhota Hai,

Ab To Uski Bhi Khuli Gayi Aankhe,
Ab Wo Sapne Nahi Sanjhota Hai,

Kehkahe Chik Ke Ye Kehte Hai,
Aadmi Iss Tarah Bhi Tota Hai,

Log To Aaj Bhi Bichudte Hai,
Kon Rumal Ab Bhigota Hai.

Ab Siyasat Bhi Ye Btati Hai,
Julm Ka Khatma Bhi Hota Hai.

Dr Urmilesh