20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics

20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics - Sad Ghazal Songs

Sad Ghazals Heart Touching SmS

Dil Walo Kya Dekh Rahe Ho Inn Raaho Mein,
Hade-Najar Tak Ye Virani Sath Chalegi, Sath Chalegi,

Sannate Phir Shama Ke Aansu Chat Rahe H,
Ye Basti To Ujhad Gayi H, Ab N Basegi, Ab N Basegi,
Hade Najar Tak Ye,

Ghar Ke Ander Sare Jungal Ka Sannata,
Sham Hui To Jungal Mein Hawa Chalegi, Hawa Chalegi,
Jinke Hatho Dil Ki Tauheen Hui H,

Unke Liye Bhi Yeh Duniya Aisi N Rahegi, Sath Chalegi,
‘Raji’ Miya Tum Sham Se Kaise Chup Baithe Ho,

Kuch To Bolo Aisi Chup Se Baat Badegi.

Raji

25+ Sad Ghazal About Life and Death

Iss Daur Mein Khuda Mohabbat Ko Kya Hua,
Chod Wafa Ko Usne Murabbat Ko Kya Hua,

Ummidware Wada-E-Deedar Mar Chale,
Aate Hi Aate Yaaro Qayamat Ko Kya Hua,

Baksish Ne Mujhko Abre-Karam 1 Ki Kiya Sharminda,
Aye Chasam 2 Josho-Ashqe-Karam 3 Ko Kya Hua,

Jata Hai Aar Teg-Bafak 4 Gair Ki Taraf,
Aye Kusthe-Sitam 5 Teri Gairat Ko Kya Hua.

1. Karpa Ke Badal
2. Aankh
3. Pacthawe Ke Ashuo Ka Umadna
4. Talwar Hath Mein Liye
5. Julm Ka Pita Hua

Sad Ghazal In Urdu

Chupke-Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad H,
Humse Ab Tak Aasiqui Ka Zamana Yaad H,

Ba Hazaro Ijtirab, Basad Hazaro Isthiyaak,
Tujhse Weh Pehle-Pehl Ka Din Lgana Yaad H,

Tujhse Kuch Milte Hi Wo Bebak Wo Jana Mera,
Aur Tera, Daanto Mein Wo Ungli Dabana Yaad H,

Khich Lena Who Mera Parde Ka Kona Dafatan,
Aur Duppate Se Tera Wo Mooh Chipana Yaad H,

Jab Siwa Mere Tumhara Koi Deewana N Tha,
Sach Kaho Kuch, Tumko Bhi Kya Woh Jmana Yaad H,

Gair Ki Najro Se Bachkar Sabki Marji Ke Khilaf,
Wo Tera Chori Chipe Raato Ka Aana Yaad H,

Aa Gaya Jab Wasal Ki Shab Bhi Kahi Jikre-Firak,
Wo Tera Ro Ro Ke Mujhko Bhi Rulana Yaad H,

Dophar Ki Dhoop Mein, Mujhko Bhulane Ke Liye,
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad H,

Chori-Chori Humse Tum, Aakar Mile The Jis Jagah,
Mudato Gujari, Par Ab Tak Wo Thikana Yaad H,

Shok Mein Mehandi Ke Wo Bedasta Pa Hona Tera,
Aur Mera Wo Chodna Wo Gugudana Yaad H.

Hasrat Mohini

30+ Heart Touching Ghazal Lyrics Collection

Tumhare Khat Mein Naya Ek Salam Kiska Tha,
N Tha Rakib To Aakhir Wo Naam Kiska Tha,

Wo Qatal Kar Ke Har Kisi Se Pucthe H,
Ye Kaam Kisne Kiya H, Ye Kaam Kiska Tha,

Wafa Karenge, Nibhayenge, Baat Manenge,
Tumhe Bhi Yaad H Kuch, Ye Kalam Kiska Tha,

Raha N Dil Mein Weh Dard Aur Dard Raha,
Mukim Kaun Hua, Mukam Kiska Tha,

N Puch-Gach Thi Kisi Ki Waha N Aaw-Bhagat,
Tumhari Bajm Mein Kal Ayetimam Kiska Tha,

Humare Khat Ke To Purje Kiye, Padha Bhi Nahi,
Suna Jo Tumne Baadil, Wo Payam Kiska Tha,

Inhi Sifat Se Hota H Aadmi Mashur,
Jo Lutf Aap Hi Karte, To Naam Kiska Tha,

Har Ek Se Kehte H Kya ‘Daag’ Bewafa Nikla,
Ye Puche Inse Koi Wo Gulam Kiska Tha.

Daag Dehlawi

Sad and Heart Touching Ghazals

Dono Ke Darmiyan Ye Ajab Faasila Raha,
Wo Mere Pass Hoke Bhi Mujhse Juda Raha,

Uski Judai Aisi Mere Dil Pe Jaa Lagi,
Me Apne Aap Se Kahi Barso Khafa Raha,

Maine Yu Hi Majak Mein Usko Kaha Tha Chand,
Aaina Bar-Bar Koi Dektha Raha,

Yaro Jara Btao Ki Rahi Ko Kya Hua,
Apni Gali Mein Apna Pata Puctha Raha.

25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets

Ubhrega Naya Suraj Gul Rang Fhizao Mein,
Hai Kal Ke Ujhalo Ki Aahat-Si Hawao Mein,

Beete Hue Lamho Ka Kya Sog Mnaye Hum,
Aehsas Ke Gulshan Mein To Phool Khilaye Hum,

Jo Phool N Murjhaye Bedard Khijao Mein,
Ubhrega Naya Suraj Gul Rang Fhizao Mein,

Majboor Hai Jo Bahe Milne Ko Tarsengi,
Bunde Naye Geeti Ki Aakash Mein Barsengi,

Gujrega Har Ek Lamha Phir Pyar Ki Chao Mein,
Ubhrega Naya Suraj Gul Rang Fhizao Mein,

Ye Rang Ye Ranayi, Ye Phaila Hai Jaadu,
Ye Husn Ye Jebai Ye Gaati Hui Ksubhu,

Ye Jalwe Saje Honge Har Sehar Mein Gaon Mein,
Ubhrega Naya Suraj Gul Rang Fhizao Mein,

Sad Heart Touching Ghazal in Hindi

Bhadak Rahi H Aag Si Hawao Mein,
Sulag Raha Hu Badlo Ki Chaw Mein,

Bahar Mujhse Chin Gayi,
Hare K Kali Simat Gayi,

Mujhe Sakun Chaiye, Mujhe Karar Chaiye,
Kisi Ki Dillagi Ko Pyar Jan Ke,

Mein Ghut Raha Hu Pyar Ki Baat Maan Ke,
Mujhe N Chaiye Kushi, Mujhe Sakun Chaiye,

Mujhe Karar Chaiye,
Bhadak Rahi H Aag Si Hawao Mein,

Sulag Raha Hu Badlo Ki Chaw Mein,
N Jane Kab Ye Dil Ka Dard Jayega,

Rahunga Hosh Mein To Gam Stayega,
Mujhe To Bas Umar Bhar Ka Ek Khumar Chaiye,

Mujhe Karar Chaiye,
Bhadak Rahi H Aag Si Hawao Mein,

Sulag Raha Hu Badlo Ki Chaw Mein,
Mujhe Sakun Chaiye, Mujh Karar Chaiye.

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Dost Mere Jo Mujhe Ghar Se Bulakar Le Gaye,
Kya Pata Kyu Rasta Itna Ghumakar Le Gaye,

Laash Tukdo Mein Mili Hai Uski Jangal Mein Kahi,
Kal Police Wale Jise Ghar Se Uthakar Le Gaye,

Manjilo Par Rehbaro Ne Gher Kar Luta Hame,
Kaafila Ham Rehjano Se To Bachakar Le Gaye,

Jaalsaajo Ke Liye Wo Mukhbari Karte Rahe,
Ham Jise Bhi Humsafar Apna Banakar Le Gaye,

Kushbuo Se Aaj Bhi Mera Chaman Aabad Hai,
Tum Bhale Dasle Gulabo Ko Churakar Le Gaye,

Ho Gaya Musqil Chalkate Aansuo Ko Rokna,
Ruthne Wale Hume Jab Manakar Le Gaye.

Ashok Rawat

Heart Touching Ghazal Shayari

Aankho Se Mili Aankhe, Dil Se Dil Jo Takraya,
Palke Yu Uthi Jaise Chalke Koi Paimana,

Najre Yu Mili Jaise Koi Chede Afsana,
Weh Chand-Sad Tukda Kuc Soch Ke Sharmaya,

Dekha Hai Unhe Tab Se Ek Khauf-Sa-Chaya Hai,
Fursat Mein Unhe Goya Allah Ne Bnaya Hai,

Sulji Hui Julfo Ne Iss Dil Ko Hai Uljaya,
Wallah Bada Maja Aaya

Ab Kisko Bata De Kya Haal Hamara Hai,
Jate Hue Jaalim Ne Ek Teer-Sa Mara Hai,

Chehre Se Nakab Chupke Se Jo Sarkaya,
Wallah Bada Maja Aaya.

15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Sama Ho Gaye,
Pehle Ja Phir Jane Ja,

Pehle Ja, Phir Jane Ja, Phir Jane Jana Ho Gaye,
Rafta-Rafta Wo Meri Hasti Ka Sama Ho Gaye,

Pehle Ja Phir Jane Ja Phir Jane Jana Ho Gaye,
Din-B-Din Badti Gayi Uss Husan Ki Ranayia,

Pehle Gul, Phir Gulbadan,
Pehle Gul, Phir Gulbadan Phit Gulbadama Ho Gaye,

Rafta-Rafta Wo Meri Hasti Ka Sama Ho Gaye,
Aap To Najdik Se Najdik Tar Aate Gaye,

Pehle Dil, Phir Dilrub,
Pehle Din, Fir Dilruba,

Pehle-Dal, Fir Dilruba Phir Dil Ke Mehama Ho Gaye,
Rafta-Rafta Wo Meri Hasti Ka Sama Ho Gaye,

Sad Ghazals Heart Touching

Kiski Kusbhu-E Badan Yaad Aayi,
Sham Ko Subh-E Chaman Yaad Aaya,

Kiski Kusbhu-E Badan Yaad Aayi,
Yu Teri Yaad Se Ji Ghabraya,

Tu Mujhe Bhul Gaya Ho Jaise,
Yaad Aaye Tere Packer Ke Khatut,

Apni Kothai-Aye Fan Yaad Aayi,
Kiski Kusbhu-E Badan Yaad Aayi,

Sham Ko Subh-E Chaman Yaad Aaya,
Chand Jab Door Ufak Mein Duba,

Tere Lehje Ki Thakan Yaad Aayi,
Kiski Kusbhu-E Badan Yaad Aayi,

Sham Ko Subh-E Chaman Yaad Aaya,
Din Shuwaho Se Uljhate Gujra,

Raat Aayi To Kiran Yaad Aayi,
Kiski Kusbhu-E Badan Yaad Aayi,

Sham Ko Subh-E Chaman Yaad Aaya,
Jab Khyalo Mein Koi Mod Aaya,

Tere Geshu Ki Shikan Yaad Aayi.
Kiski Kusbhu-E Badan Yaad Aayi,

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Haq-E Wafa Jo Hum Jatane Lage,
Aap Kuch Kehke Muskurane Lage,

Humko Jeena Padega Furkat Mein,
Wo Agar Himmat Aajmane Lage,

Darr H Meri Juba N Khul Jaye,
Ab Wo Baate Bahut Bnane Lage,

Jaan Bacthi Najar Nahi Aati,
Gair Ulfat Bahut Jtane Lage,

Aap Kuch Kehke Muskurane Lage,
Tumko Karna Padega Ujar Jafa,

Hum Agar Dard-E-Dil Sunane Lage,
Bahut Musqil H Shoa-E Taslim,

Hum Aakher Ko Jee Churane Lage,
Aap Kuch Kehke Muskurane Lage,

Waqte-Ruksat Tha Shakt ‘Haali’ Par,
Hum Bhi Baithe The Jab Wo Jane Lage,

Haq-E-Wafa Jo Hum Jtane Lage,
Aap Kuch Kehke Muskurane Lage.

Haali

Heart Touching Love Ghazal

Hawa Jab Tez Chalti Hai To Patte Toot Jate Hai,
Musibat Ke Dino Mein Acche-Acche Toot Jaate Hai,

Bahut Majboor Hai Ham Juth To Bola Nahi Jata,
Agar Sach Bolte Hai Ham, To Risthe Toot Jate Hai,

Bahut Musqil Sahi Phir Bhi Mijaj Apna Badal Lo Tum,
Lachak Jinme Nahi Hoti Tane We Toot Jaate Hai,

Bhale Hi Der Se Aaye Magar Wo Waqt Aata Hai,
Haqiqat Khul Hi Jaati Hai Mukhote Too Jate Hai,

Abhi Duniya Nahi Dekhi Abhi Eo Pucthe Hai Ye,
Kisi Ka Dil, Kisi Ke Khawab Kaise Toot Jate Hai,

‘Tushar’ Itna Hi Kya Kam Hai Tumhe Wo Dekthe To Hai,
Agar Kuch Roshni Ho To Andhere Toot Jate Hai.

Nityanand “Tushar”

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Andaaj Apne Dekthe H Aaine Mein Wo,
Aur Ye Bhi Dekhete H , Koi Dektha N Ho,

Kal Chodawi Ki Raat Thi, Shab Par Bhar Raha Charcha Tera,
Kuch Ne Kaha Ye Chand H, Kuch Ne Kaha Chehra Tera,

Iss Sehar Mein Kisse Mile, Humse To Chute Mehfile,
Har Shaks Tera Naam Le, Har Shaks Deewana Tera,

Beshak Usi Ka Dosh H, Kehta Nahi Khamosh H,
Tu Aap Kar Aisi Dawa Bimar Ho Accha Tera,

Kal Chodawi Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera,
Ham Hans Diye, Hum Chup Rahe, Manjur The Parda Tera,

Kal Chodawi Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera,
Bedard Sunti H, To Chal Kehta H, Kya Acchi Ghazal,

Aashiq Tera, Rutba Tera, Shayar Tera, Insha Tera.

Ibne Insha

Heart Touching Ghazal Lines

Itni Muddato Baad Mile Ho,
Kin Socho Mein Gum Rehte Ho,

Itni Muddato Baad Mile Ho,
Kin Socho Mein Gum Rehte Ho,

Tej Hawao Ne Mujhse Pucha,
Ret Pe Kya Takte Rehte Ho,

Kin Socho Mein Gum Rehte Ho,
Itni Muddat Baad Mile Ho.

Kaun Si Baat H Tum Mein Aisi,
Itne Acche Kyu Lagte Ho,

Itni Muddato Baad Mile Ho,
Kin Socho Mein Gum Rehte Ho,

Humse N Pucho Hijar Ke Kisse,
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho.

Itni Muddato Baad Mile Ho,
Kin Socho Mein Gum Rehte Ho.

Muhsin Nakwi

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Kisi Se Bolna Aur Dekhna Accha Nahi Lagta,
Tumhe Dekha Hai Jab Se Dusra Accha Nahi Lagta,

Tu Meri Aarzo Hai, Tu Meri Zustuju (Chahat) Hai,
Jidhar Bhi Aankh Uthe Udhar Bas Tu Hi Tu Hai,

Tujhe Paya Hai Jab Se, Tu Hardam Rubaru Hai,
Tere Aankho Mein Jab Se Maine Apna Aksh (Parchayi) Dekha Hai,

Mere Chehre Ko Koi Aaina Accha Nahi Lagta,
Kisi Se Bolna Aur Dekhna Accha Nahi Lagta,

N Chahat Zindagi Ki, Kushi Hai Bas Kushi Ki,
Andhero Ki N Parwa, N Khawaish Roshni Ki,

Tamnna Ab Kaha Hai Kisi Se Dosti Ki,
Andhero Ki N Parwa, N Khawaish Roshni Ki,

Teri Jaanib Koi Dekhe, Mujhe Accha Nahi Lagta,
Kisi Se Bolna Aur Dekhna Accha Nahi Lagta,

Heart Touching Ghazal Shayari

Koi Humnafas Nahi Hai Koi Rajda Nahi Hai,
Faqat Ek Dil Tha Apna So Wo Meharba Nahi Hai,

Meri Rooh Hi Haqiqat Mere Aansuo Se Pucho,
Mera Majlisi Tabssum Mera Tarjuma Nahi Hai,

Kisi Aankh Ko Sada Do Kisi Julf Ko Pukaro,
Badhi Dhoop Padi Rahi Hai Koi Saiba Nahi Hai,

Inhi Patharo Pe Chalkar Agar Aa Sako To Aao,
Mere Ghar Ke Raste Mein Koi Kehkasi Nahi Hai.

10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals

Jkham-E Tahnai Mein Khusbhu-Aye Hina Kiski Thi,
Saya Deewar Pe Mera Tha Sada Kiski Thi,

Uski Rafter Se Lipti Rahi Meri Aankhe,
Usne Moodkar Bhi N Dekha Ki Wafa Kiski Thi.

Waqt Ke Tarah Dabe Paon Ye Kon Aaya H,
Mein Andhera Jise Samjha Wo Kaba Kiski Thi,

Aansuo Se Hi Sahi Bhar Gaya Daman Mera,
Hath To Maine Uthaye The Dua Kiski Thi,

Meri Aaho Ki Juba Ko Samjhata Kaun,
Jindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kiski Thi,

Aag Se Dosti Uski Thi Jala Ghar Mera,
Dil Gayi Kisko Saja Aur Khata Kiski Thi,

Maine Binahiya Bokar Bhi Andere Kaate,
Kiske Bas Mein Thi Jami Abar Oh Hawa Kiski Thi.

Chod Di Kislie Tune, ‘Mujffar’ Duniya,
Justju Si Tujhe Har Waqt Bata Kiski Thi.

Mujffar

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Jo Kahi Mujhko Baharo Ka Khuda Mil Jata,
To Puchta Ki Aye Jane-Waman Ruk To Jara,

Kon-Si Jhil Ka Jadu Hai Teri Aankho Mein,
Kin Andhero Ko Smoya Hai Teri Julfo Mein,

Kin Sitaro Se Tarasha H Ye Chandi Ka Badan,
Jo Kahi Mujhko Baharo Ka Khuda Mil Jata,

Chandni Pyar Ki Hai Tere Gaalo Pe Khili,
Kaise Nagmo Ki Chanachan Tere Kadmo Ko Mili,

Kaiso Kaisi Se Mili Hai Tere Hontho Ki Lagan,
Jo Kahi Mujhko Baharo Ka Khuda Mil Jata,

Hindi Ghazal Lyrics Collection

Apni Tehjeeb Ke Jame Mein Raha Karte The,
Ham Bhi Bete Kabhi College Mein Padha Karte The,

Pehle Tution Ki Dukane Bhi Nahi Hoti Thi,
Phir Bhi Hairat H Ki Hum Top Kiya Karte The,

Kushbue, Humko Bhi Baichan Bahut Karti Thi,
Phir Bhi Hum Aankho Se Phulo Ko Chua Karte The,

Ab To Shagirdo Se Ustad Dara Karte The,
Pehle Ustado Se Shagird Dara Karte The,

Jaane Kin Chiko Se Jhakmi Hai, We Fimli Gaane,
Ghar Mein Mil-Baithke Hum Jinko Suna Karte The,

Pehle Fridge, T.V Aur Cooler Bhi Nahi The Ghar Mein,
Fir Bhi Aaram Se Hum Log Jiya Karte The,

Ab Khelo Mein To Harkat Bhi Nahi Hoti Hai,
Tabke Khelo Mein Bhi Pasene Bhi Baha Karte The.

Heart Touching Urdu Ghazal

Gaye Dino Ka Surag Lekar,
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Weh,

Ajib Manus, Ajnabi Tha,
Mujhe To Hairan Kar Gaya Weh,

Bas Ek Moti Si Chab Dikhakar,
Bas Ek Mithi Si Dhoon Sunakar,

Sitara-E Sham Ban Ke Aaya,
Range Khwab-E Shear Kar Gaya Weh,

Kushi Ki Raat Ho Ki Gam Ka Mausam,
Najar Use Dhundti H Hardam,

Weh Bu-E Gul Se Utra Gaya Weh,
Mere To Dil Mein Utar Gaya Weh,

N Ab Weh Yaado Ka Chadta Dariya,
N Fursato Ki H Oos Barka,

Yu Hi Jara-Si Kasak H Dil Mein,
Jo Jhkam Gehra Tha Bhar Gaya Weh,

Kuch Ab Sambhalne Kagi H Ja Bhi,
Badal Chala Daur-E Aasma Bhi,

Jo Raat Bhari Thi Tal Gayi H,
Jo Din Kada Tha Gujar Gaya Weh.